6 Oct 2017

Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.)

Humne aksar suna hai ki humari qaum ko azadari ne zinda rakha hai; jo sunne me bahot achcha aur dil ko chu lene wali baat hai.

Lekin agar ise haqiqat ki nigah se dekhe to ye samajh pana thoda mushkil dikhai deta hai.

Kuch log kahege ki hum zinda to khana khane aur pani peene se hai; azadari se kaise?

Kuch log kehte hai ki duniya me sirf humari qaum thodi hi zinda hai? Har dusri qaum is duniya me zinda hai masalan Hindu, Buddh, Isai, Sunni, wagairah.

Phir ye kaise kaha jata hai ki is Azadari ne hume zinda rakha hai?

Hume ye dekhna hoga ki "Zinda" kise kaha jaata hai?

- Kya khana khane aur pani peekar jo log saase le rahe hai wo Zinda hai?

- Kya wo log zinda hai jo is Maddi duniya ke liye apna sabkuch bech dete hai?

- Kya kisi zalim ke dar se uske zulm ko sehte hue jeena zinda rehna hai?

- Aise bahot se sawal khade hote hai jab "Zindagi" ki baat aati hai.

Aaiye dekhte hai Azadari hume kya sikhati hai?

Azadari hume sikhati hai ki Izzat ki maut zillat ki zindagi se bahot behtar hai.

Karbala hume dars de rahi hai ki hum bhooke aur pyase shaheed to ho sakte hai, lekin zillat nahi tasleem kar sakte.

Jo qaum maut se ladna seekh jaae use koi nahi hara sakta.

Aaiye ab dekhte hai ki Imam Khomeini apne is statement "Aaj tak is qaum ko Azadari ne zinda rakha hai" se wo kya kehna chah rahe hai?

Inqelab e Islami se pehle wala Iran hum sab ko pata hai, jaha fahasha aam tha, ise Middle East ka Paris kaha jata tha aur yaha ka Baadshah Reza Shah, jo ki bazahir Shia tha lekin American puppet tha, Iran me hijab par bhi pabandi lagane ki baat kar raha tha.

Imam Khomeini ne jab Reza Shah ke khilaaf muhaaz khola, tamam Irani qaum ne Imam Khomeini ki awaaz par labbaik kaha aur ek saath mil kar kaha tha ki "Hum bhooke pyase rehne ko tayyar hai, apne seeno par goliya khane ko tayyar hai, sanctions jhelne ko tayyar hai lekin Reza Shah ke zalim raj me rehne ko ek din ke liye tayyar nahi hai".

- Is qaum me ye jazba kaha se aaya?
- Kyu aisa jazba dusri qaum me nahi hai?
- Kyu dusri qaum me jo inqelab aae hai wo Maddi the aur khane peene par khatm ho jaate the?

Kyuki is qaum ne apna dars Karbala se seekha hai jaha ye sikhaya jata hai ji asl zindagi izzat se hasil hoti hai aur asl izzat Allah ki Riza me hai aur Allah ki Riza Adl ke liye ladne aur Zalim ke khilaaf apni awaaz buland karne me hai.

Humare saamne aisi bahot si qaum hai jo apne inqelab ke shuruaati daur me to bahot josh me rehti hai lekin kuch dino baad zalim se mil jaati hai ya zalim use todne me kamiyab ho jata hai.

Lekin hum saaf taur par dekh sakte hai ki jo Inqelab Imam Khomeini ne laya tha wo aaj bhi zinda hai aur Irani qaum ne Karbala se dars hasil karte hue Zalim America ke saamne kabhi apne irade kamzor nahi hone diye.

Is qaum ne hamesha apne Shohoda ki izzat ki hai. Is qaum ne Iran Iraq jang me 5 lakh jawano ki qurbani qabul ki lekin Zalim America ke saamne jhukna pasand nahi kiya.

Agar hum bhi sahi tariqe se Karbala ko samjh kar us par amal kare to inshaAllah hum bhi dekhege ki hum kisi bhi mulk me ho ya kisi bhi shahar me ho Allah ki madad humare saath rahegi aur hum bhi surkhru hoge.

Beshak Rasul e Khuda (s) ne sach kaha hai ki "Imam Hussain (a) ki shahadat me wo aag aur hararat hai jo Momineen ko qayamat tak (Zulm ke khilaaf) khamoshi se baithne nahi degi."

Aao ek kaam kare..
Karbala aam kare.

Tehrir: Abbas Hindi

Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.) Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.)

Humne aksar suna hai ki humari qaum ko azadari ne zinda rakha hai ; jo sunne me bahot achcha aur dil ko chu lene wali baat hai. Lekin agar ...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments