1 Oct 2018

Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai?

Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki "Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle fatwa jaari kiya gaya tha ki Hussain (a) wajibul qatl hai".

Samajh me ye nahi aata tha ki jab Yazeed ko deen se koi lena dena nahi tha to Takbeer ka naara kyu lagaya gaya? Fatwa lene ki zarurat kyu padi?

Ye chize aaj samajh me aa rahi hai.

Kuch mafaad parast log deen ke Ohdedar bane baithe hai jaise "Rangeela VP" aur deen, Janabe Fatima (s), Azadari aur rusumaat ka naam le le kaar awaam ko bewakuf bana rahe hai. Naam to deen ka lete hai aur rukume shariya (religious donations - Khums, Masjid building donation, etc.) Collect karte hai lekin jab ye fund dene ki baat aati hai to condition lagate hai ki unki baat manna padega.

Agar koi inki mukhalifat kare to unhe fund rokne ki dhamkiya dete hai.

Ye thik usi tarah hai jaise Yazid kiya karta tha! Khud to be-deen tha, naach gana kiya karta tha, haram halaal me farq nahi pata tha, shariat ka koi qanoon nahi pata tha; lekin Zabardasti deeni mansab par chad baitha tha jaisa ki aaj kal Rangeela VP aur uske chahite Chele chapate, Counsellors aur kuch jamat ke presidents deeni markaz ke seth ban baithe hai.

Agar koi inke khilaf ja kar hatta Majlis e Imam Hussain (a) bhi kare to ye log un par bhi pabandi lagate hai aur Majlis karwane ki saza me Maafi Nama likhwate hai. Kya ye Yazidi Sunnat nahi hai?

Yazid khud aa kar logo par zulm nahi karta tha balki uske niche wale log uski chaplusi me ye kaam karte the. Aaj bhi dhamki uske chele de rahe hai que awaam ko dabane ke liye gunde mawaliyo ko samne khade kar dete hai. Agar awaam gundo se nahi dari to fund rok lene ki dhamki dete hai.

Jab bhi hum aise mahol ko samne dekhe to humara kaam hai ki ek jut ho kar aise Rangeelo ke khilaf apni awaaz buland kare. Agar aisa nahi karoge to zalim mazboot hoga aur haq kamzor.

Isme darne ki zarurat nahi hai, InshaAllah fund ka intezam Allah kar dega aur zalim ke khilaf khade hone walo ki hifazat bhi Allah ke zimme hai.

Aao ek kaam kare, karbala aam kare

Zalim ke khilaaf mil jhul kar khade ho kar ye dikhaae ki aaj hum Imam Hussain (a) ki "Halmin Nasir" ki sada par "Labbaik" kehne wale hai.

Was Salam

27 Sept 2018

Shia aur Shi'at

Do lafz "Shia" aur "Shi'at" sunne me to ek jaise hi lagte hai lekin dono me zameen aasmaan ka farq hai.

Aaj ke zamane me ek taraf Shia use kehte hai jo kisi Shia ke ghar me paida hua aur apni zindagi me Shia rasmo riwaj pure karta hai, phir wo samajh ke kare ya baghair samjhe.

Wahi dusri taraf "Shi'at" ek maktab / institution/  fikr / Soch ka naam hai jiske liye kisi ko Shia ke ghar me paida hone ki zarurat nahi, rasmo riwaj pure karna wajib nahi balki Shi'at ke batae hue usoolo ko apne zindagi me utarna zyada zaruri hai.

Shi'at ka Sabse bada usool hai Zulm ke samne khada hona aur Mazloom ki himayat karna. Yehi baat Imam Ali (a) ne apni Wasiyat me kahi aur isi usool ko samne rakh kar Imam Hussain (a) ne Karbala me qayam kiya tha.

Kisi Shaaer ne bahot khoob kaha hai:

Suno sadae Karbala, Hussain ki zuban se!

Ye tauqe Jabr tod do sitam ke waar mat saho
Humara saath do na do, Ghulam ban ke mat jiyo.

Agar hum Shia ke ghar me bhi paida hue hai aur saare Rasmo Riwaj bhi ada kar rahe hai lekin Shi'at ke usool humari zindagi me nahi hai to hume sochna padega ki hum sahi hai ya nahi.

Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat

Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the?

Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta tha... Balki Yazeed ne ek aisa kaam kiya tha jisse ki samaj ka tana bana kharab ho raha tha.

Wo kya kaam tha?

Yazeed ne apni hukumat me aisa mahol banaya tha ki agar koi bura kaam karta to use rokne tokne wale ke dil me khauf rehta ki agar kuch kahega to Yazeed ka koi gunda mawali aa kar taklif na de de.

Iske ulat agar koi kisi ko neki ka hukm karta ya deen ki baat karta to use khud Yazeed ya uske chele chapate aa kar ye kehte ki tum apni zindagi jio lekin dusro ko ye sab neki weki mat sikhao.. isse mahol kharab hota hai. Khamosh baith kar samaj me shanti banae rakho.

Lekin jab koi hasi mazak, tanz, jokes hatta ke buri chize bhi samaj me share karta to use koi rokna to dur uske khilaf awaaz tak uthane ki koshish na karta.

Iska sidha sidha matlab tha ki Allah ke batae hue qanoon jise Amr Bil Maroof aur Nahi Anil Munkar kaha jata hai uska ulta hone laga. Jise Nasihat Bil Munkar aur Sukut Bil Maroof kaha ja sakta tha.

Aaiye hum apne atraaf dekhe!

- Kya aaj samaj me bina kisi khauf ke hum dusre ko acchi bato ki taraf dawat de sakte hai? Ya phir hum par Mulla, Shana ya badi badi karne wala jaise tags lagte hai?

- Kya samaj islami values se dur nahi ja raha hai? Aisa kyu hai ki ek Momin kisi dusre momin se deen ki baat nahi kar sakta?

- Kya humare samaj ke Ohdedaaro ne aisa mahol to nahi bana diya jahan Quraan, Deen aur Achchi baate karne ko samaj me fasad paida karna kaha ja raha hai?

- Kahi aisa to nahi ki buri bato par yehi Ohdedar khamosh rehte hai aur koi action nahi lete?

Agar aisa hai to phir samajh lijiye ki aaj ke daur me humare halaat waise hi hai jaise Karbala ke pehle Yazeed ne bana diye the.

Hum par zaruri hai ki agar hum aise halaat dekhe to Sachchi ka sath dete hue khade ho jaae aur aise samaj me deen ko aam kare, achche Olema ko samaj me laae aur samaj ke Ohdo se (Positions se) bure aur kharab logo ko dure rakhe.

Agar aaj aisa nahi karoge to kal hum dekhege ki samaj se deen gayab ho gaya hai aur deen ke naam par sirf rusumaat reh gai hai aur aise samay me humari nasle (aulaad) humare haath se jaane lagegi aur bachche ma baap ki aankho ke samne bure kaam karenge lekin walidain me ye taqat nahi rahegi ki unhe rok sake.

Jagiye.. Iske pehle ki burai khatm karne ke liye hume zyada badi qurbani deni pad jaae!

Naya Shobdebaaz

Mere shehr me naya Shobdebaaz aaya hai
Jo muddo ko beja hassas banata hai
Phir logo ke jazbaat ubharta hai
Deen ko deen se ladata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai!

Kabhi na dars liya usne kisi madarse me
Na uska koi kabhi ustad hi raha hai
Bulata khud ko wo Allama hai
Zabar ko zer, Zer ko Zabar batata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Kiya na kisi Mujtahid ka usne ehteram kabhi
Hamesha Olema ke khilaf hai uski zuban chali
Hai khud ka zehan Soo
Magar dusro ko Soo bulata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Kiya hai usne Social Media ka bharpoor istemaal
Banaya Deen ko apna subh shaam shikar
Barpa kiya hai qaum me ek naya bohran
Jawan, bachche aur budho ko mashkook banaya hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

"Wilayat" ke naam par Media channel chalata hai
Magar Wilayat ke khilaaf kaam karte jata hai
Na deen ki hai fikr, na ehteram e Olema
Mafaad parast hai, dhoka diye jata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Racha hai dhong ke, sarkar ka wo haami hai
Magar jo Dee ka nahi, woh to sirf fasadi hai
Nazar me rakkho use, fitna na faila paae
Deen ki fikr kar humko qadam uthana hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Jawano uththo, is fitne ko mitae hum
Ye kaise mumkin hai ki, yu deen se khel jaae koi
Naam lene se dhoke me iske aae hum
Wilayat o Azadari ko to humne Olema se paya hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Aakhir Imambade me Majlis ho kar rahi

Imam Hussain (as) ki Majlis barpa karne se rokna Sahi amal nahi hai. Jo shaks aisa kare wo kaisa hoga aap sab jante hai.

Afsoos, us Rangeele VP ne na sirf majlis karwane par pabandiyo ki baat ki balki dhamkiya tak di gai.

Lekin Momeneen ki ekjahti aur Allah par bharosa jeet gaya aur sabhi ne saath me mil kar Zalim ke muh par Zordaar tamacha jada aur strict instructions ke bawajood Imam bargah me Majlis hui... Shandaar hui.

Zalim yeh samajh raha tha ki donation de kar wo sab ko kharid lega aur deen o Azadari sab uske hukm se hogi.

Lekin Rajura Jamat ki unity ne Zalim ko bata diya ki wo chande ke paise lene ke chakkar me deen aur azadari ko khatre me nahi padne dege.

Pados ki jamat ne Zalim ke aage ghutne tek diye aur bata diya ki wo kis ke ghulam hai.

Ummat e Muslima ki taraf se Rajura ki Jamat ko salam

Aae hue paiso ko wapas karne wale jazbe ko salam

Zalim je samne ek jut ho kar khade rehne ko salam

Beshak Allah ke nazdeek sabse pasandida jamat wo hai jo uski raah me Zalim ke khilaf aise jihad kare jaise sisa pilaai hui deewar ho (Sura e Saff: 4)

Deen ke Thekedaro ka Muh kala hua!

Wo samjhte hai ki Paiso se Masjido, Imambargaho aur Momeneen ke quloob ko kharid liya jaaega aur Haq parast Olema par pabandiya laga kar logo ko unse dur kar diya jaaega, lekin Allah ne Olema ko apni taraf se izzat di hai, jo koi unse chhin nahi sakta.

Vidarbh me Mumbai ki siyasat ka ganda khel khelne ki koshish karne me President aur VP sahab ne jaan laga di aur local Jamato ko funds rokne ki dhamki de daali. Unhe laga tha ki inki banai hui Masjid se hi deen ki tableegh ho sakti hai, lekin Allah ko kuch aur hi manzoor tha.

Imam bargah me majlis par pabandi lagai gai, logo ko bhadkaya gaya ki banned Maulana hai majlis me mat jana, lekin "jise Allah rakhkhe use kaun chkhkhe".

Sab ne dekha ki jin logo ne compliant ka call Rangeele VP ko kiya tha wo khud bhi apne aap ko Haq ki zuban se majlis sunne se rok naa sake.

Majlis hui, awaam aai, haq ki tableegh hui, thekedaro ke muh par tamacha pada lekin afsoos Imam bargah Majlis se mehroom rahi.

Wohi Imam bargah jise Bibi Fatima (sa) ka naam le le kar logo se paise mang kar banaya ja raha hai aur Rangeele VP ne apni milkiyat samajh rakhi hai.

Aisi Masjido me jaha Allah ke deen ki baat karne se roka jaae use masjid nahi eet aur paththar ki emarat kaha jata hai.

Afsoos ki local jamat ke ohdedaro ne Masjid ko Rangeele VP ke haatho kuch lakh rupye me bech diya.

Allah sabki hidayat farmaye.

Humari pyari Masjid aur Jamat ko kya ho gaya?

Buzurgo ke haatho bani humari choti si masjid,
Jisme aaj ke daur ki aashaish to nahi thi,
Haan, magar chain sukun zarur tha.

Jamat ke bade budhe aur bachche aa kar,
Yaha muhabbat ke sath Namaz aur Majlis kiya karte the.

Haae! Is pyari Masjid ko kiski nazar lag gai?

Is gandi duniya ke sarwatmand,
ise apni ghinauni siyasat ka markaz kyu banane lage?

Kal tak jinhe Masjid, Namaz aur Azadari se koi sarokar na tha,
Aaj in sab ka naam le kar, Bibi Fatema (sa) ki khidmat ki guhar lagane lage.

Inse zara pucho; kya hoti hai deen ki khidmat?

Kya yehi deen ki khidmat hai ki,
Jamat ki siyasat me Bibi (sa) ka naam le
Aur apne bachcho ki shadiyon me naach gana kare?
Zaati zindagi me Deen ka namo nishan na ho,
Lekin elections ke waqt barabar se Azadari ki baat kare.

Kya yehi deen ki khidmat hai?

Meri pyari Masjid aur muhabbat wali Jamat ko kya ho gaya?

Ab yahan rishtedariyan nahi chalti,
Chalta hai to sirf,
Rangeele VP ke zariye diya gaya Karze Hasana.
Ab yaha Olema ki izzat nahi hoti,
Laagu hoti hai Olema par pabandi.

Chand rupyo ke chande ki khatir,
Meri pyari Masjid me Majlis rok di jati hai.
Kaha jata hai kahin Rangeela VP naraz na ho jaae.
Ab Bibi Fatema (sa) yaad nahi aati
Na yaad aata hai Olema ka waqar
Aur na deen, aur na shariat!

Haae! Ye meri pyari Masjid ko kya ho gaya?
Ab yahan deen nahi Siyasat chalne lagi..
Deen ka to sirf naam reh gaya,
Jo chanda mangne ke kaam aata hai.

Ae Khuda! Meri pyari Masjid mujhe wapas de de,
Nahi chahiye mujhe AC, Lift aur Italian Marble
Mujhe to bas Sukun wali jagah chahiye
Jahan Muhabbat aur Bhai chare se sab log mile!

30 Jan 2018

Ayyam e Fatima (S.A) aur Hum

Ayyam e Fatima (sa) aate hi azakhano me ronak phir se palat aati hai. Azadar Majlis o Matam karne lagte hai aur alag alag Olema ki majlise rakhi jati hai.

Ye ayyam nihayat hi dardnaak ayyam hai chuke Janabe Fatima (sa) ne Deen e Islam ko bachane ke liye Zalim o Ghasib hukmarano ke khilaf qayam kiya tha jiske liye unhe bahot Masaeb jhelne pade.

Yaha ek bahot zaruri baat dhyan dene ki hai ki Janabe Fatima (sa) ka qayam zalim hukmarano ke khilaf tha, na ki kisi kgas maslak o mazhab ke khilaaf.

Aaj Ayyam e Fatima (sa) ki majliso me sirf ek khas maslak ke manne walo ko target kiya jata hai aur un par lanat malamat ki jati hai, jabki Janabe Fatima (sa) ne hame dars diya hai ki Zalim chahe koi bhi ho, uske khilaf qayam wajib hai.

Aaiye in muqaddas Ayyam me Janabe Fatima (sa) ki seerat se dars hasil karte hue ham zamane ke Zalimo ke khilaf qayam karne ki himmat jutaae aur Deen ki raah me qurbaniya dene ke liye aamda hone ki koshish kare.

Was Salam
Shia Qaumi Halaat Team
t.me/QaumiHalaat

11 Jan 2018

Waseem Rizvi aur Shia Qaum

Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai.

UP State ki history me Shia hukumat ka ek bada daur raha hai jiska markaz Lucknow aur atraaf ke ilaqon me tha. Isi wajah se Uttar Pradesh me Shia Waqf ki bahot si properties paai jati hai.

Shia Waqf properties ki dekh rekh ke liye sarkar dwara gathit Shia Waqf Board me Chairman ki post par Syed Waseem Rizvi appointed hai. In sahab par maazi me waqf property ke saath gadbadi karne ke mamle bhi darj hai. Isi wajah se Maulana Kalbe Jawad Sahab iske khilaf sarkar ko complaint kar chuke hai, lekin Sarkar ise hatane ka naam nahi le rahi hai.

Apne ghaflo aur ghotalo ko chupane ke liye Waseem Sahab aaj kal BJP ko lubhane wale bayanat de rahe hai jisme Ram Mandir nirman me Shia Waqf Board ki taraf se bayanat ke saath saath Hindustan me Madarso par pabandi laane jaise bayanat bhi shamil hai.

In bayanat ki wajah se sirf Shia Waqf Board ka naam hi kharab nahi ho raha hai balki puri Shia Qaum par aanch aa rahi hai.

Apne zaati mafaad ke liye Waseem Rizvi puri Shia Qaum ke naam par kichad uchaal raha hai.

Iske khilaaf Shia Olema ne milkar bhi awaaz uthai hai jinme Maulana Kalbe Jawad sb, Maulana Ahmed Ali Abedi sb, Maulana Hussain Mehdi Hussaini Sb, Maulana Taqi Agha Sb, Maulana Ghulam Mohammed Mehdi sb, aur digar Olema shamil hai.

Shia Qaum ke logo se guzarish hai ki Waseem Rizvi ke bayanat ki mazammat karte rahe, agar kisi ke zehan me ye khyal aae ki ye Shia Qaum ko represent kar raha hai to use batae ki iska Qaum se koi lena dena nahi hai aur awaam Olema ke saath mil kar khadi rahe, kahi aisa na ho ki Waseem Rizvi jaise bhediye humara naam le kar logo ko bewakuf banane me kamiyab ho jaae.

Shia Qaumi Halaat Channel
t.me/QaumiHalaat

Waseem Rizvi aur Shia Qaum

Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai.

UP State ki history me Shia hukumat ka ek bada daur raha hai jiska markaz Lucknow aur atraaf ke ilaqon me tha. Isi wajah se Uttar Pradesh me Shia Waqf ki bahot si properties paai jati hai.

Shia Waqf properties ki dekh rekh ke liye sarkar dwara gathit Shia Waqf Board me Chairman ki post par Syed Waseem Rizvi appointed hai. In sahab par maazi me waqf property ke saath gadbadi karne ke mamle bhi darj hai. Isi wajah se Maulana Kalbe Jawad Sahab iske khilaf sarkar ko complaint kar chuke hai, lekin Sarkar ise hatane ka naam nahi le rahi hai.

Apne ghaflo aur ghotalo ko chupane ke liye Waseem Sahab aaj kal BJP ko lubhane wale bayanat de rahe hai jisme Ram Mandir nirman me Shia Waqf Board ki taraf se bayanat ke saath saath Hindustan me Madarso par pabandi laane jaise bayanat bhi shamil hai.

In bayanat ki wajah se sirf Shia Waqf Board ka naam hi kharab nahi ho raha hai balki puri Shia Qaum par aanch aa rahi hai.

Apne zaati mafaad ke liye Waseem Rizvi puri Shia Qaum ke naam par kichad uchaal raha hai.

Iske khilaaf Shia Olema ne milkar bhi awaaz uthai hai jinme Maulana Kalbe Jawad sb, Maulana Ahmed Ali Abedi sb, Maulana Hussain Mehdi Hussaini Sb, Maulana Taqi Agha Sb, Maulana Ghulam Mohammed Mehdi sb, aur digar Olema shamil hai.

Shia Qaum ke logo se guzarish hai ki Waseem Rizvi ke bayanat ki mazammat karte rahe, agar kisi ke zehan me ye khyal aae ki ye Shia Qaum ko represent kar raha hai to use batae ki iska Qaum se koi lena dena nahi hai aur awaam Olema ke saath mil kar khadi rahe, kahi aisa na ho ki Waseem Rizvi jaise bhediye humara naam le kar logo ko bewakuf banane me kamiyab ho jaae.

Shia Qaumi Halaat Channel
t.me/QaumiHalaat

Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai? Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai?

Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki " Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle f...

Shia aur Shi'at Shia aur Shi'at

Do lafz " Shia " aur " Shi'at " sunne me to ek jaise hi lagte hai lekin dono me zameen aasmaan ka farq hai. Aaj ke ...

Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat

Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the? Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta t...

Naya Shobdebaaz Naya Shobdebaaz

Mere shehr me naya Shobdebaaz aaya hai Jo muddo ko beja hassas banata hai Phir logo ke jazbaat ubharta hai Deen ko deen se ladata hai Me...

Aakhir Imambade me Majlis ho kar rahi Aakhir Imambade me Majlis ho kar rahi

Imam Hussain (as) ki Majlis barpa karne se rokna Sahi amal nahi hai. Jo shaks aisa kare wo kaisa hoga aap sab jante hai. Afsoos, us Rangeel...

Deen ke Thekedaro ka Muh kala hua! Deen ke Thekedaro ka Muh kala hua!

Wo samjhte hai ki Paiso se Masjido, Imambargaho aur Momeneen ke quloob ko kharid liya jaaega aur Haq parast Olema par pabandiya laga kar lo...

Humari pyari Masjid aur Jamat ko kya ho gaya? Humari pyari Masjid aur Jamat ko kya ho gaya?

Buzurgo ke haatho bani humari choti si masjid, Jisme aaj ke daur ki aashaish to nahi thi, Haan, magar chain sukun zarur tha. Jamat ke ba...

Ayyam e Fatima (S.A) aur Hum Ayyam e Fatima (S.A) aur Hum

Ayyam e Fatima (sa) aate hi azakhano me ronak phir se palat aati hai. Azadar Majlis o Matam karne lagte hai aur alag alag Olema ki majlise r...

Waseem Rizvi aur Shia Qaum Waseem Rizvi aur Shia Qaum

Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai. UP State...

Waseem Rizvi aur Shia Qaum Waseem Rizvi aur Shia Qaum

Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai. UP State...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments