30 Aug 2020
15 Dec 2019
CAA (CAB) aur NRC ke chalte Ummat kya kare?
27 Sept 2018
Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat
Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the?
Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta tha... Balki Yazeed ne ek aisa kaam kiya tha jisse ki samaj ka tana bana kharab ho raha tha.
Wo kya kaam tha?
Yazeed ne apni hukumat me aisa mahol banaya tha ki agar koi bura kaam karta to use rokne tokne wale ke dil me khauf rehta ki agar kuch kahega to Yazeed ka koi gunda mawali aa kar taklif na de de.
Iske ulat agar koi kisi ko neki ka hukm karta ya deen ki baat karta to use khud Yazeed ya uske chele chapate aa kar ye kehte ki tum apni zindagi jio lekin dusro ko ye sab neki weki mat sikhao.. isse mahol kharab hota hai. Khamosh baith kar samaj me shanti banae rakho.
Lekin jab koi hasi mazak, tanz, jokes hatta ke buri chize bhi samaj me share karta to use koi rokna to dur uske khilaf awaaz tak uthane ki koshish na karta.
Iska sidha sidha matlab tha ki Allah ke batae hue qanoon jise Amr Bil Maroof aur Nahi Anil Munkar kaha jata hai uska ulta hone laga. Jise Nasihat Bil Munkar aur Sukut Bil Maroof kaha ja sakta tha.
Aaiye hum apne atraaf dekhe!
- Kya aaj samaj me bina kisi khauf ke hum dusre ko acchi bato ki taraf dawat de sakte hai? Ya phir hum par Mulla, Shana ya badi badi karne wala jaise tags lagte hai?
- Kya samaj islami values se dur nahi ja raha hai? Aisa kyu hai ki ek Momin kisi dusre momin se deen ki baat nahi kar sakta?
- Kya humare samaj ke Ohdedaaro ne aisa mahol to nahi bana diya jahan Quraan, Deen aur Achchi baate karne ko samaj me fasad paida karna kaha ja raha hai?
- Kahi aisa to nahi ki buri bato par yehi Ohdedar khamosh rehte hai aur koi action nahi lete?
Agar aisa hai to phir samajh lijiye ki aaj ke daur me humare halaat waise hi hai jaise Karbala ke pehle Yazeed ne bana diye the.
Hum par zaruri hai ki agar hum aise halaat dekhe to Sachchi ka sath dete hue khade ho jaae aur aise samaj me deen ko aam kare, achche Olema ko samaj me laae aur samaj ke Ohdo se (Positions se) bure aur kharab logo ko dure rakhe.
Agar aaj aisa nahi karoge to kal hum dekhege ki samaj se deen gayab ho gaya hai aur deen ke naam par sirf rusumaat reh gai hai aur aise samay me humari nasle (aulaad) humare haath se jaane lagegi aur bachche ma baap ki aankho ke samne bure kaam karenge lekin walidain me ye taqat nahi rahegi ki unhe rok sake.
Jagiye.. Iske pehle ki burai khatm karne ke liye hume zyada badi qurbani deni pad jaae!
Aakhir Imambade me Majlis ho kar rahi
Imam Hussain (as) ki Majlis barpa karne se rokna Sahi amal nahi hai. Jo shaks aisa kare wo kaisa hoga aap sab jante hai.
Afsoos, us Rangeele VP ne na sirf majlis karwane par pabandiyo ki baat ki balki dhamkiya tak di gai.
Lekin Momeneen ki ekjahti aur Allah par bharosa jeet gaya aur sabhi ne saath me mil kar Zalim ke muh par Zordaar tamacha jada aur strict instructions ke bawajood Imam bargah me Majlis hui... Shandaar hui.
Zalim yeh samajh raha tha ki donation de kar wo sab ko kharid lega aur deen o Azadari sab uske hukm se hogi.
Lekin Rajura Jamat ki unity ne Zalim ko bata diya ki wo chande ke paise lene ke chakkar me deen aur azadari ko khatre me nahi padne dege.
Pados ki jamat ne Zalim ke aage ghutne tek diye aur bata diya ki wo kis ke ghulam hai.
Ummat e Muslima ki taraf se Rajura ki Jamat ko salam
Aae hue paiso ko wapas karne wale jazbe ko salam
Zalim je samne ek jut ho kar khade rehne ko salam
Beshak Allah ke nazdeek sabse pasandida jamat wo hai jo uski raah me Zalim ke khilaf aise jihad kare jaise sisa pilaai hui deewar ho (Sura e Saff: 4)
Humari pyari Masjid aur Jamat ko kya ho gaya?
Buzurgo ke haatho bani humari choti si masjid,
Jisme aaj ke daur ki aashaish to nahi thi,
Haan, magar chain sukun zarur tha.
Jamat ke bade budhe aur bachche aa kar,
Yaha muhabbat ke sath Namaz aur Majlis kiya karte the.
Haae! Is pyari Masjid ko kiski nazar lag gai?
Is gandi duniya ke sarwatmand,
ise apni ghinauni siyasat ka markaz kyu banane lage?
Kal tak jinhe Masjid, Namaz aur Azadari se koi sarokar na tha,
Aaj in sab ka naam le kar, Bibi Fatema (sa) ki khidmat ki guhar lagane lage.
Inse zara pucho; kya hoti hai deen ki khidmat?
Kya yehi deen ki khidmat hai ki,
Jamat ki siyasat me Bibi (sa) ka naam le
Aur apne bachcho ki shadiyon me naach gana kare?
Zaati zindagi me Deen ka namo nishan na ho,
Lekin elections ke waqt barabar se Azadari ki baat kare.
Kya yehi deen ki khidmat hai?
Meri pyari Masjid aur muhabbat wali Jamat ko kya ho gaya?
Ab yahan rishtedariyan nahi chalti,
Chalta hai to sirf,
Rangeele VP ke zariye diya gaya Karze Hasana.
Ab yaha Olema ki izzat nahi hoti,
Laagu hoti hai Olema par pabandi.
Chand rupyo ke chande ki khatir,
Meri pyari Masjid me Majlis rok di jati hai.
Kaha jata hai kahin Rangeela VP naraz na ho jaae.
Ab Bibi Fatema (sa) yaad nahi aati
Na yaad aata hai Olema ka waqar
Aur na deen, aur na shariat!
Haae! Ye meri pyari Masjid ko kya ho gaya?
Ab yahan deen nahi Siyasat chalne lagi..
Deen ka to sirf naam reh gaya,
Jo chanda mangne ke kaam aata hai.
Ae Khuda! Meri pyari Masjid mujhe wapas de de,
Nahi chahiye mujhe AC, Lift aur Italian Marble
Mujhe to bas Sukun wali jagah chahiye
Jahan Muhabbat aur Bhai chare se sab log mile!
30 Jan 2018
Ayyam e Fatima (S.A) aur Hum
Ayyam e Fatima (sa) aate hi azakhano me ronak phir se palat aati hai. Azadar Majlis o Matam karne lagte hai aur alag alag Olema ki majlise rakhi jati hai.
Ye ayyam nihayat hi dardnaak ayyam hai chuke Janabe Fatima (sa) ne Deen e Islam ko bachane ke liye Zalim o Ghasib hukmarano ke khilaf qayam kiya tha jiske liye unhe bahot Masaeb jhelne pade.
Yaha ek bahot zaruri baat dhyan dene ki hai ki Janabe Fatima (sa) ka qayam zalim hukmarano ke khilaf tha, na ki kisi kgas maslak o mazhab ke khilaaf.
Aaj Ayyam e Fatima (sa) ki majliso me sirf ek khas maslak ke manne walo ko target kiya jata hai aur un par lanat malamat ki jati hai, jabki Janabe Fatima (sa) ne hame dars diya hai ki Zalim chahe koi bhi ho, uske khilaf qayam wajib hai.
Aaiye in muqaddas Ayyam me Janabe Fatima (sa) ki seerat se dars hasil karte hue ham zamane ke Zalimo ke khilaf qayam karne ki himmat jutaae aur Deen ki raah me qurbaniya dene ke liye aamda hone ki koshish kare.
Was Salam
Shia Qaumi Halaat Team
t.me/QaumiHalaat
11 Jan 2018
Waseem Rizvi aur Shia Qaum
Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai.
UP State ki history me Shia hukumat ka ek bada daur raha hai jiska markaz Lucknow aur atraaf ke ilaqon me tha. Isi wajah se Uttar Pradesh me Shia Waqf ki bahot si properties paai jati hai.
Shia Waqf properties ki dekh rekh ke liye sarkar dwara gathit Shia Waqf Board me Chairman ki post par Syed Waseem Rizvi appointed hai. In sahab par maazi me waqf property ke saath gadbadi karne ke mamle bhi darj hai. Isi wajah se Maulana Kalbe Jawad Sahab iske khilaf sarkar ko complaint kar chuke hai, lekin Sarkar ise hatane ka naam nahi le rahi hai.
Apne ghaflo aur ghotalo ko chupane ke liye Waseem Sahab aaj kal BJP ko lubhane wale bayanat de rahe hai jisme Ram Mandir nirman me Shia Waqf Board ki taraf se bayanat ke saath saath Hindustan me Madarso par pabandi laane jaise bayanat bhi shamil hai.
In bayanat ki wajah se sirf Shia Waqf Board ka naam hi kharab nahi ho raha hai balki puri Shia Qaum par aanch aa rahi hai.
Apne zaati mafaad ke liye Waseem Rizvi puri Shia Qaum ke naam par kichad uchaal raha hai.
Iske khilaaf Shia Olema ne milkar bhi awaaz uthai hai jinme Maulana Kalbe Jawad sb, Maulana Ahmed Ali Abedi sb, Maulana Hussain Mehdi Hussaini Sb, Maulana Taqi Agha Sb, Maulana Ghulam Mohammed Mehdi sb, aur digar Olema shamil hai.
Shia Qaum ke logo se guzarish hai ki Waseem Rizvi ke bayanat ki mazammat karte rahe, agar kisi ke zehan me ye khyal aae ki ye Shia Qaum ko represent kar raha hai to use batae ki iska Qaum se koi lena dena nahi hai aur awaam Olema ke saath mil kar khadi rahe, kahi aisa na ho ki Waseem Rizvi jaise bhediye humara naam le kar logo ko bewakuf banane me kamiyab ho jaae.
Shia Qaumi Halaat Channel
t.me/QaumiHalaat
Waseem Rizvi aur Shia Qaum
Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai.
UP State ki history me Shia hukumat ka ek bada daur raha hai jiska markaz Lucknow aur atraaf ke ilaqon me tha. Isi wajah se Uttar Pradesh me Shia Waqf ki bahot si properties paai jati hai.
Shia Waqf properties ki dekh rekh ke liye sarkar dwara gathit Shia Waqf Board me Chairman ki post par Syed Waseem Rizvi appointed hai. In sahab par maazi me waqf property ke saath gadbadi karne ke mamle bhi darj hai. Isi wajah se Maulana Kalbe Jawad Sahab iske khilaf sarkar ko complaint kar chuke hai, lekin Sarkar ise hatane ka naam nahi le rahi hai.
Apne ghaflo aur ghotalo ko chupane ke liye Waseem Sahab aaj kal BJP ko lubhane wale bayanat de rahe hai jisme Ram Mandir nirman me Shia Waqf Board ki taraf se bayanat ke saath saath Hindustan me Madarso par pabandi laane jaise bayanat bhi shamil hai.
In bayanat ki wajah se sirf Shia Waqf Board ka naam hi kharab nahi ho raha hai balki puri Shia Qaum par aanch aa rahi hai.
Apne zaati mafaad ke liye Waseem Rizvi puri Shia Qaum ke naam par kichad uchaal raha hai.
Iske khilaaf Shia Olema ne milkar bhi awaaz uthai hai jinme Maulana Kalbe Jawad sb, Maulana Ahmed Ali Abedi sb, Maulana Hussain Mehdi Hussaini Sb, Maulana Taqi Agha Sb, Maulana Ghulam Mohammed Mehdi sb, aur digar Olema shamil hai.
Shia Qaum ke logo se guzarish hai ki Waseem Rizvi ke bayanat ki mazammat karte rahe, agar kisi ke zehan me ye khyal aae ki ye Shia Qaum ko represent kar raha hai to use batae ki iska Qaum se koi lena dena nahi hai aur awaam Olema ke saath mil kar khadi rahe, kahi aisa na ho ki Waseem Rizvi jaise bhediye humara naam le kar logo ko bewakuf banane me kamiyab ho jaae.
Shia Qaumi Halaat Channel
t.me/QaumiHalaat
13 Dec 2016
Qaum ki halat: Media se qareeb - Olema se Dur
3 Nov 2016
Rusumaat aur Olema ki behurmati
16 Jul 2016
Ummat ya Rewad / Bhed
22 Jun 2016
Hindustan ke Shia Aur Siyasat ki soch
11 May 2016
Imam Hussain (a) – Zulm ke khilaaf mazboot diwaar
3 May 2016
Shia Personal Law Board aur Shia People's Party - Kuch Sawalaat!!
21 Apr 2015
Yemen ke Halaat aur Hamara Kirdaar
मुस्लमान और ख़ुसूसन शिया होने के नाते यह हमारा फ़रीज़ा है की दुनिया में हो रहे हालात से बा-खबर रहे और ये देखे की आज की तारीख में हमारा क्या फ़रीज़ा है। इमाम अली (अ) अपनी वसीयत में हम से मुखातिब हो कर फरमाते है कि "हमेशा मज़्लूमिन के साथ रहो और ज़ालिम के खिलाफ"।
आइये हम अपने आप पर एक नज़र डाले की आज हम इमाम (अ) की वसीयत पर अमल कर रहे या नहीं?
सऊदी अरब ने आज से तक़रीबन दो हफ्ते पहले यमन पर हमला किया और हमले आज तक जारी है। इन हमलों में 2500 मासूमो की जाने चली गई और न जाने कितने शदीद ज़ख़्मी हुए। इंडियन मीडिया ने यमन के हालात को कवर तो किया लेकिन सिर्फ इस हद तक की यमन में फ़से भारतीय वापस अपने वतन पहुंच जाए। खुदा का करम हुआ की उसने सभी भारतीयो को यमन से निकलने का मौक़ा दिया। लेकिन इससे हक़ीक़ी हालात नहीं बदले। यमन अभी भी वैसा ही है।
यमन में अभी भी मासूम बच्चे और अवाम शहीद हो रहे है। इतना ही नहीं, सऊदी ने हाई डेंसिटी स्क्वाड बोम्ब्स का इस्तेमाल भी शुरू कर दिया है जिसकी वजह से भारी तबाही मची हुई है।
हमारा रवैय्या देखे तो पता चल रहा है की यमन में कुछ भी हो, हमें इससे क्या? मुंबई के खोजा शिया इस्ना अशरी हज़रात जमात के इलेक्शंस में बिजी है। दोनों पार्टियो को कैंपेनिंग करने से फुर्सत नहीं। ऐसे में जमात के प्लेटफार्म पर यमन की बात करना भैस के आगे बीन बजाने जैसा है। याद रहे, यही वो जमात है जिसने बहरैन के मौज़ू पर आज़ाद मैदान में पुरज़ोर एहतेजाज किया था। लेकिन आज जैसे यमन में मुस्लमान और शिया रहते ही न हो।
खोजा जमात इलेक्शंस में मसरूफ है, लेकिन दूसरे लोग जो खोजा नहीं है, उन्हें क्या हो गया है? वह तो मसरूफ नहीं। अपनी ज़िन्दगी में हमें इतना भी बिजी नहीं हो जाना चाहिए की अगर मज़लूम मदद के लिए आवाज़ उठाए तो कान पर जू तक ना रेंगे।
इसके साथ ही जब हम उलेमा की जानिब देखते है तो वहा भी सन्नाटा नज़र आ रहा है। उलेमा उम्मत के रहबर है, और रहबर का काम है की उम्मत को सही राह की तरफ आमादा करे। अगर जमात इलेक्शंस में मसरूफ है तो उलेमा अपने मजलिसों और बयानों से उम्मत का ध्यान अस्ल मुद्दे पर लाने की कोशिश करे, ऐसा करने से ना सिर्फ उलेमा का उम्मत में वक़ार बढ़ेगा, बल्कि उम्मत को रहबर के पीछे चलने की आदत होगी।
पिछले कुछ हफ्तों के मरकज़ी जुमे के पॉइंट्स पर नज़र डाले तो यमन का ज़िक्र तक नहीं मिलता। ऐसे में उम्मत किस्से तवक़्क़ो करे जो उसे राह दिखाए। जुमा एक मरकज़ी हैसियत रखता है और उम्मत की ट्रेनिंग के लिए एक बेहतरीन प्लेटफार्म है। हमारे आइम्मा (अ) ने खास तौर पर कहा है की दूसरे ख़ुत्बे में सियासी पहलु पर नज़र डाले, ताकि उम्मत जान सके की दुनिया में क्या हो रहा है और उम्मत का फ़रीज़ा क्या है।
यमन के मज़लूम बच्चे सऊदी और अमेरिका के बोम्ब्स का शिकार हो रहे है और क़ौम इलेक्शंस के खानो में मस्त है। पार्टियां कम्पैनिंग कर रही हैं। जिससे पूछो वो यही कहता फिर रहा है की ये जीतेगा की वो। मालूम पढता है जैसे दुनिया इसी मुद्दे पर घूम रही हो। और इन सब के दरमियान जुमे के ख़ुत्बे में यमन का ज़िक्र तक ना आना दिखता है की हम कहाँ जा रहे है।
हमें याद रखना चाहिए की खुदा सब का इम्तिहान लेता है। कभी माल से, कभी औलाद से, कभी फुरसत दे कर, कभी मरतबा दे कर। आज हमारे पास मौक़ा है की अपने पहले इमाम, इमाम अली (अ) की वसीयत पर अमल कर के मज़्लूमिन से अपनी हिमायत का ऐलान करे और ज़ालिम से बेज़ारी का इज़हार।
उसने हमें नेमतें दी, वक़्त दिया, आज़ादी दी, अपनी बात कहने की आज़ादी, भारत जैसे मुल्क में पैदा किया जहा हम एहतेजाज कर सकते है, लेकिन हमने इस नेमत के बदले में क्या दिया? सुकूत; ख़ामोशी; बेज़ारी; और ना जाने क्या?
2500 मासूम लाशें पुकार पुकार कर आवाज़ दे रहे हैं, कहाँ है वो जो कहते है की हमारा पहला इमाम अली (अ) है? क्यों वो अपने इमाम की वसीयत पर अमल नहीं करते? क्या हमारा नाहक़ खून उन्हें दिखाई नहीं देता? क्या उन्होंने सय्यद हसन नसरल्लाह, इमाम ख़ामेनई और दीगर ओलमा के बयानात नहीं सुने, जिनमे वो पुकार पुकार कर कह रहे है की मज़्लूमिन की हिमायत में हमेशा आवाज़ बुलंद करो और ज़ालिम के मुक़ाबिल बेज़ारी का इज़हार।
हमारा आज फ़रीज़ा है की अपना सुकूत तोड़े, रोज़मर्रा कछवे की चाल वाली ज़िन्दगी से बहार आए। इलेक्शंस में लड़ने वाली पार्टियों से पूछे की अगर वे जीत कर आएगें तो क्या ज़लिमिन के खिलाफ आवाज़ उठाएगे? उलेमा से उनके सुकूत की वजह पूछे? याद रहे सवाल पूछना बेइज़्ज़ती नहीं है? अदब के दायरे का खास ख्याल रहे। आज हम उठेंगे और सवाल करेंगे तो इंशाल्लाह आने वाली नस्लो तक ये सबक़ जाएंगा की ख़ामोशी और सुकूत कभी राहे हल है ही नहीं .
आइये हम अपने आपको बदले, हमारे समाज को बदले, अपनी सोच को बदले, इलेक्शंस में लड़ने वाली पार्टियों की जेहनियत को बदले, उलेमा को ये यक़ीन दिलाए की हम तैयार है; आप आवाज़ तो बुलंद करे; आइये सब मिलकर एक क़दम बढ़ाए एक असली इमाम (अ) के मानने वाले बने।
Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...
Traditional Taziya of India COVID-19 ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya...
CAA (CAB) aur NRC ke chalte Ummat kya kare?
Jis din se BJP ki sarkar ka dusra session shuru hua hai, ummat e Muslima par jaise pareshaniyo ke pahad tod diye gae hai. Ek ke baad ek, nae...
Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat
Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the? Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta t...
Aakhir Imambade me Majlis ho kar rahi
Imam Hussain (as) ki Majlis barpa karne se rokna Sahi amal nahi hai. Jo shaks aisa kare wo kaisa hoga aap sab jante hai. Afsoos, us Rangeel...
Humari pyari Masjid aur Jamat ko kya ho gaya?
Buzurgo ke haatho bani humari choti si masjid, Jisme aaj ke daur ki aashaish to nahi thi, Haan, magar chain sukun zarur tha. Jamat ke ba...
Ayyam e Fatima (S.A) aur Hum
Ayyam e Fatima (sa) aate hi azakhano me ronak phir se palat aati hai. Azadar Majlis o Matam karne lagte hai aur alag alag Olema ki majlise r...
Waseem Rizvi aur Shia Qaum
Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai. UP State...
Waseem Rizvi aur Shia Qaum
Hindustan ke State Uttar Pradesh me aaj Bhartiya Janta Party ki hukumat hai. Isi State me Shia aabadi ka bada hissa bhi rehta hai. UP State...
Qaum ki halat: Media se qareeb - Olema se Dur
Har qaum ka future is baat par depend karta hai ki samaj ke logo ki sochne ki taqat kaisi hai. Kya woh log sahi direction me samajh rahe h...
Rusumaat aur Olema ki behurmati
"Jab unse kaha jaata hai ki jo Allah ne nazil kiya hai uski pairavi karo; to kehte hai ki nahi! Hum to usi tariqa se chalege jis ...
Ummat ya Rewad / Bhed
Pichle kuch saalo me Hindustan ke siyasi mahol me bahot se changes hue hai jisse Musalman aur khas kar Shia Qaum achuti nahi rahi hai. Inh...
Hindustan ke Shia Aur Siyasat ki soch
Aam taur par Hindustan me Shia qaum me siyasat ko ek napaak aur najis chiz se tabir kiya jata hai aur deen ko isse dur rakha jata ha...
Imam Hussain (a) – Zulm ke khilaaf mazboot diwaar
Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jo zulm ke khilaaf ek mazboot diwaar nazar aate hai. Aap (a) ki wiladat hijrat ke baad Madi...
Shia Personal Law Board aur Shia People's Party - Kuch Sawalaat!!
Hindustan me Shia qaum ke representation ka sawal ek aisa sawal hai jiska jawab milna bahot mushkil nazar aata hai. Agar Qaum ke dasta...
Yemen ke Halaat aur Hamara Kirdaar
यमन के हालात और हमारा किरदार मुस्लमान और ख़ुसूसन शिया होने के नाते यह हमारा फ़रीज़ा है की दुनिया में हो रहे हालात से बा-खबर रहे और य...