Jis waqt bachcho ne nazm “Salam
Farmahdeh” padhna shuru kiya, us waqt to jaise sailaab aa gaya tha. 200 se
zyada bachcho ne nazm me hissa liya aur apne Zamane ke Imam (ATFS) ki khidmat
me salaam pesh kiya. Is nazm ki videos bhi social media par bahot viral hui.
Program me Mumbai aur behruni
olema ne bhi kaseer tadad me shirkat ki aur program ko mazeed taqwiyat bakhshi.
Halanki kuch hi olema ne majme ko khitaab kiya lekin baaki olema shuru se
aakhir tak maujood rahe aur program se apni razamandi ka saboot pesh kiya.
Kesar Baug, Mumbai ke us ilaake me
maujood hai jahan qaumi markaz ke saath saath Shiat ke mukhtalif fikr ke log
rehte hai. Aaj se kuch baras pehle isi jagah par Imam Khomeini (AR) ka naam
lene walo ko badnaam kiya jata tha aur unhe shak ki nigaaho se dekha jata tha.
Agar koi bhi Imam Khomeini ya Ayatullah Khamenei (DA) se related koi baat karta
ya Majlis me un ko refer karta to un par pabandiya aaed kar di jaati.
Lekin salaam ho Imam Khomeini
(AR) ki mo’jizana zaat par aur un ke laae gae Islami Inqelaab par, ke logo ke
bahot chahne ke baad bhi usi jagah jaha in buzurg hastiyo ki mukhalifat ki gai,
unhi ke chahne wale Mumbai ke har ghosho kinaar se apni aurto aur bachcho ke
saath shamil hue aur program ko bahot kamiyaab banaya.
Jis tarah Huzur e Akram Mohammed
Mustafa (S) ne Islam ko failane ke liye Makka ko chhod kar atraaf ke ilaaqo par
dhyan diya aur aakhir me Makka ki taraf sirf paidal nihatte sipahiyo ke saath kooch
kar ke Makka fatah kar diya, usi tarah Imam Khomeini (AR) ke laae gae Islami
Inqelaab ke chahnewale Mumbai ki zameen par har jagah paida ho gae.
Imam Khomeini (AR) se jab Inqelaab ki
muhim ke shuruwaati daur me pucha gaya tha ki inqelaab lane ke liye aap ke
sipahi kaha hai, to us waqt unhone kaha tha ki “Wo apni maa’on ki god me pal
rahe hai”, usi tarah Imam (AR) ki barsi par Mumbai ke saikdo bachcho ne “Salaam
Farmandeh” ki nazm me hissa le kar ye sabit kar diya ki wo bhi Islam ki madad
karne ke liye puri tarah tayyar hai.
Imam Khomeini (AR) ke Inqelaab ki
ek bahot ahem khoobi ye thi ki wo inqilab ka base Allah (SWT) ki zaat aur awaam
me ittehaad (Unity) tha. Inqelaab me Iran ke sabhi logo ne, chahe wo kisi bhi
mazhab, maslak, fikr ya background se the, wo sabhi ne badhchad kar hissa liya
tha.
Kesar Baug me Imam Khomeini (AR)
ki yaad me jo program hua usme bhi qaum ke lagbhag sabhi logo ne hisaa liya. Kuch log
is muqaddas program se mehrum reh gae jiski wajah unki Imam Khomeini (AR) ki
zaat ke baare me kam samajh ya mis-information ya unko manne wale logo se personal
issues ya akhlaqi issues ho sakte hai. Lekin samajhdar logo ka ye wazifa rehta
hai ki wo achchi chizo ko dekhte hai aur personal issues ki wajah se agar koi
chiz achchai tak pahuchne me aad banti hai to use dur karte hai.
InshaAllah wo waqt zarur aaega jab
saari duniya Imam Khomeini (AR) ke laae hue inqelaab par ek saath jama ho
jaaege aur zaalim taqato ko is duniya se mita dege.
Fathe Makka ke baad Islam ne jis
tarah farogh hasil kiya tha wo misaal aaj bhi zamane ke saamne maujood hai aur
InshaAllah usi tarz par aaj ke aaj ke is Fathe Makka ka asar bhi zamana
zarur dekhega aur iske asaraat se bharpoor faayeda uthaega.
Abbas Hindi ki kalam se...
0 comments:
Post a Comment