Showing posts with label Mumbai. Show all posts
Showing posts with label Mumbai. Show all posts

16 Jun 2022

Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha


Itwar baroz
12 June 2022 ko Mumbai ke Keaser Baug me Imam Khomeini ki barsi ke mauke par organized kiye gae program “Yaad-e-Imam-e-Rahil” me logo ne badi tadaad me shirkat ki. Program ke shuru hone se pehle hi log apni families ke saath, khas kar apne bachcho ko liye Kesar Baug hall me jama hone lage. Logo ki tadaad itni thi ke chairs kam padne lagi aur log khade reh kar program me shareek ho rahe the.

Jis waqt bachcho ne nazm “Salam Farmahdeh” padhna shuru kiya, us waqt to jaise sailaab aa gaya tha. 200 se zyada bachcho ne nazm me hissa liya aur apne Zamane ke Imam (ATFS) ki khidmat me salaam pesh kiya. Is nazm ki videos bhi social media par bahot viral hui.

Program me Mumbai aur behruni olema ne bhi kaseer tadad me shirkat ki aur program ko mazeed taqwiyat bakhshi. Halanki kuch hi olema ne majme ko khitaab kiya lekin baaki olema shuru se aakhir tak maujood rahe aur program se apni razamandi ka saboot pesh kiya.

Kesar Baug, Mumbai ke us ilaake me maujood hai jahan qaumi markaz ke saath saath Shiat ke mukhtalif fikr ke log rehte hai. Aaj se kuch baras pehle isi jagah par Imam Khomeini (AR) ka naam lene walo ko badnaam kiya jata tha aur unhe shak ki nigaaho se dekha jata tha. Agar koi bhi Imam Khomeini ya Ayatullah Khamenei (DA) se related koi baat karta ya Majlis me un ko refer karta to un par pabandiya aaed kar di jaati.

Lekin salaam ho Imam Khomeini (AR) ki mo’jizana zaat par aur un ke laae gae Islami Inqelaab par, ke logo ke bahot chahne ke baad bhi usi jagah jaha in buzurg hastiyo ki mukhalifat ki gai, unhi ke chahne wale Mumbai ke har ghosho kinaar se apni aurto aur bachcho ke saath shamil hue aur program ko bahot kamiyaab banaya.

Jis tarah Huzur e Akram Mohammed Mustafa (S) ne Islam ko failane ke liye Makka ko chhod kar atraaf ke ilaaqo par dhyan diya aur aakhir me Makka ki taraf sirf paidal nihatte sipahiyo ke saath kooch kar ke Makka fatah kar diya, usi tarah Imam Khomeini (AR) ke laae gae Islami Inqelaab ke chahnewale Mumbai ki zameen par har jagah paida ho gae.

Imam Khomeini (AR) se jab Inqelaab ki muhim ke shuruwaati daur me pucha gaya tha ki inqelaab lane ke liye aap ke sipahi kaha hai, to us waqt unhone kaha tha ki “Wo apni maa’on ki god me pal rahe hai”, usi tarah Imam (AR) ki barsi par Mumbai ke saikdo bachcho ne “Salaam Farmandeh” ki nazm me hissa le kar ye sabit kar diya ki wo bhi Islam ki madad karne ke liye puri tarah tayyar hai.

Imam Khomeini (AR) ke Inqelaab ki ek bahot ahem khoobi ye thi ki wo inqilab ka base Allah (SWT) ki zaat aur awaam me ittehaad (Unity) tha. Inqelaab me Iran ke sabhi logo ne, chahe wo kisi bhi mazhab, maslak, fikr ya background se the, wo sabhi ne badhchad kar hissa liya tha.

Kesar Baug me Imam Khomeini (AR) ki yaad me jo program hua usme bhi qaum ke lagbhag sabhi logo ne hisaa liya. Kuch log is muqaddas program se mehrum reh gae jiski wajah unki Imam Khomeini (AR) ki zaat ke baare me kam samajh ya mis-information ya unko manne wale logo se personal issues ya akhlaqi issues ho sakte hai. Lekin samajhdar logo ka ye wazifa rehta hai ki wo achchi chizo ko dekhte hai aur personal issues ki wajah se agar koi chiz achchai tak pahuchne me aad banti hai to use dur karte hai.

InshaAllah wo waqt zarur aaega jab saari duniya Imam Khomeini (AR) ke laae hue inqelaab par ek saath jama ho jaaege aur zaalim taqato ko is duniya se mita dege.

Fathe Makka ke baad Islam ne jis tarah farogh hasil kiya tha wo misaal aaj bhi zamane ke saamne maujood hai aur InshaAllah usi tarz par aaj ke aaj ke is Fathe Makka ka asar bhi zamana zarur dekhega aur iske asaraat se bharpoor faayeda uthaega.

Abbas Hindi ki kalam se... 

30 Aug 2020

Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...

Traditional Taziya of India
COVID-19
ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya aur sadiyo se jo Manzar saatvi Muharram se lagataar roze aashur aur shaame gariba tak dikhaai dete the, uski jagah sadko par sannata tha.
Imambargaahe aur Azadari ke markaz sune reh gae aur Momeneen ke dil tute hue apne Maula (a) ke masaeb par akele me rone par majboor hue. Ba-Khuda, ye Muharram hamesha yaad rahega aur Azadarane Syyad-ush-Shohoda (a) puri koshish karenge ki aaj se jitna ho sake apne Maula (a) ki azadari har tarah, har haal me ittefaq aur aapsi bhaichare ke saath mil kar pure josh-o-kharosh se aur zyada taqat o quwat ke saath karenge.



Bombay High Court ne 5 logo ko symbolic tarike se "Taziya" nikaalne ki ijazat de di aur "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko ye "Taziya" le jaane ki zimmedari saupi aur saath ye bhi kaha ki Maharashtra ke tamam Muhibbe Imam Hussain (a) ki taraf se Aashura 2020 me sirf ek "Taziya" nikala jaaega.

Isme koi shak nahi ki "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ke liye ye fakhr ke saath saath zimmedari ka bhi maqam tha. Zimmedari is baat ki ke wo is baat ka khyal karte ki Taziya is tarah se nikaale ki is sirf Mumbai ke Shio ke jazbaat ka khyal na rakhte hue saare Maharashtra ke har us shkas ka bhi khyal rahe jise Imam Hussain (a) se Muhabbat hai.

Maharashtra me sirf Shia hazraat Muharram ka juloos nahi nikaalte, Aashur ke din Shia ke saath Sunni, Hindu, Buddhist aur digar mazhab ke manne wale bhi Imam Hussain (a) ki yaad manate hue "Taziya" nikaalte hai. Maharashtra me bahot si Shia jamate bhi hai jo aaj bhi "Taziya" nikaalte hai. Aashur ka "Taziya" itna mashhoor hai ki Bombay High Court ne "Taziya" nikaalne ki ijazat di, na ki "Taboot".

"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko "Taziye" se kya pareshani thi wo to unke arakeen ko hi pata hoga lekin "Taziya" sirf Shia nishani nahi balki saare insano me "Imam Hussain (a)" se jise bhi ulfat hai wo "Taziye" ko dekh kar Karbala ke Haram e Imam Hussain (a) ko yaad karta hai wo apne dil me girya karta hai.

"Idare" ne "Taziye" ki jagah "Taboot" nikaal kar na sirf Maharashtra ke Muhibbe Imam Hussain (a) ke armaano ko thes pahuchaai hai balki Bombay High Court ke order ki bhi mukhalifat ki hai jisme saaf likha hai ki "Taziya" nikalne ki ijazat hai.

Isi ke saath jis truck par "Taboot" nikla gaya us ke saamne likha gaya tha "Maqsad-e-Karbala, Aliyun Waliyullah" jo sirf "Idaara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ki soch hai, Imam Hussain (a) ummat ki Islaah ke liye qayam kiya tha.

Isi ke saath jis truck par Taboot nikala gaya, kyu ek bhi Aalim-e-Deen ko saath me nahi rakha gaya? Jabke is saal Mumbai me lagbhag saare Olema maujood the?

"Taziya" nikaalne ki ijazat milne ke baad "Idare" ki zimmedari itni badi thi ki wo saare insaano ke jazbaat ka khyal karte hue Imam Hussain (a) ki Shahadat ki munasibat par saare Muhibbe Imam Hussain (a) ki niyabat me Aashur ka "Taziya" nikaalte, lekin afsoos itni badi zimmedari ko "Idara-e-Tahaffuz-e-Husainiyat" ne sirf apne "Idare" ke zaati faaede ko dhyan me rakh kar har kaam kiya.

"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko iska jawaab Janabe Fatima (sa) ko dena hoga aur Allah is zimmedari ko sahi se pura nahi karne par "Idaare" ke arakeen se sakht puch karega. Isi ke saath "Idaare" ke arakeen Muhhibe Hussain (a) ke bhi hamesha jawabdeh rahenge.

27 Sept 2018

Naya Shobdebaaz

Mere shehr me naya Shobdebaaz aaya hai
Jo muddo ko beja hassas banata hai
Phir logo ke jazbaat ubharta hai
Deen ko deen se ladata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai!

Kabhi na dars liya usne kisi madarse me
Na uska koi kabhi ustad hi raha hai
Bulata khud ko wo Allama hai
Zabar ko zer, Zer ko Zabar batata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Kiya na kisi Mujtahid ka usne ehteram kabhi
Hamesha Olema ke khilaf hai uski zuban chali
Hai khud ka zehan Soo
Magar dusro ko Soo bulata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Kiya hai usne Social Media ka bharpoor istemaal
Banaya Deen ko apna subh shaam shikar
Barpa kiya hai qaum me ek naya bohran
Jawan, bachche aur budho ko mashkook banaya hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

"Wilayat" ke naam par Media channel chalata hai
Magar Wilayat ke khilaaf kaam karte jata hai
Na deen ki hai fikr, na ehteram e Olema
Mafaad parast hai, dhoka diye jata hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Racha hai dhong ke, sarkar ka wo haami hai
Magar jo Dee ka nahi, woh to sirf fasadi hai
Nazar me rakkho use, fitna na faila paae
Deen ki fikr kar humko qadam uthana hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

Jawano uththo, is fitne ko mitae hum
Ye kaise mumkin hai ki, yu deen se khel jaae koi
Naam lene se dhoke me iske aae hum
Wilayat o Azadari ko to humne Olema se paya hai

Mere shehar me naya shobdebaaz aaya hai

25 Jul 2017

Rangeele VP ka Maulana Prem - Kya Sach kya Jhoot

Shahar me pichla Muharram sab ko yaad rahega jab khule aam awaam ko bula kar  VP Sahab ne apni fikr se alag Olema Hazraat par apni milkiyat wali Masjido me majlis padhne par pabandi laga di.

Ab kehte hai na:

Boe ped babul ka...
To Aam kahan se hoe?
(बोए पेड़ बबूल का...
तो आम कहाँ से होए?)

Ye baat sach sabit hui. Awaam bechari ki nazro me Olemao ki izzat kam kar di gai.

Kuch malango ne Mujtahedin par lanat malamat ki.. kuch shaaero ne olemao ke khilaaf ashaar gad diye... Kuch log sadko par Olemao ki badtamizi karne lage.

Lekin aag to apne ghar ki Shadiyon me Naach Gana karne wale Rangeele VP sahab ne lagai thi na..

Waise VP sahab ka Federation aajkal  idhar udhar letter baazi karne me mahir hota ja raha hai.

Canada ki jamat ke Secretary ke ghar me unnatural same sex marriage hua.. VP sahab ne letter issue kiya ki haram kaam hua hai, Jamat ko resign karna chahiye.

Apne mulk ki ek jamat ke bahar kisi aam shaks ne masjid ke bahar ek aalim se bad kalami kar di... VP sahab ne aalim ki izzat ka sawal utha kar Jamat se resignation maang liya.

Agar VP sahab ka dil sahi me jal raha hai to apne ghar me hue gaane bajane par resign kyu nahi kiya?

Aalim ki izzat pyari hai to 4 Aalim aur 1 Aalima par jab bhari meeting me gali galoch ke bich awaam ke haatho pabandi lagai tab kyu resign nahi kiya?

Magarmachchh ke aasu bahana, letter baazi karna aur muddo se logo ka dhyan hathana to koi VP sahab se sikhe.

Lekin sawal ab bhi baaki hai.. Bedeen aur Rangeele VP sahab ka aur unki team ka resignation kab?

3 Nov 2016

Rusumaat aur Olema ki behurmati



"Jab unse kaha jaata hai ki jo Allah ne nazil kiya hai uski pairavi karo; to kehte hai ki nahi! Hum to usi tariqa se chalege jis par humne apne baap dadao ko paaya" [31:21]

Allah (SWT) ne deen ko aasan aur insani tabiyat (nature) ke lihaz se banaya hai, jisme tabdeeli insan ke wujood ke liye khatra sabit hoti hai. Lekin zamin aur zamane ke lihaz se log alag alag qism ki chize deen me dakhil kar dete hai jo shuruwaat me to itni nuksaandeh nahi dikhai deti, lekin lambi muddat me awaam ise deen ka hissa bana leti hai. 

3 May 2016

Shia Personal Law Board aur Shia People's Party - Kuch Sawalaat!!


Hindustan me Shia qaum ke representation ka sawal ek aisa sawal hai jiska jawab milna bahot mushkil nazar aata hai. Agar Qaum ke dastawezo, jaise Quraan aur Hadis ki roshni me dekhe to qaum ka rehnuma / leader / rehbar ek Aadil, baizzat aur deen ke jannewale bade aalim-e-deen ko hona chahiye. Lekin kya Hindustani Shia qaum me rehbariyat ke maqam par kaun faez hai?

23 Jul 2015

24 Apr 2015

Khoja Jamat Elections - Where do we stand?

खोजा शिया इस्ना अशरी जमात के इलेक्शंस में हम कहाँ ठहरते है?


मुंबई में खोजा शिया हज़रात आज कल अपने आपको एक नए माहोल में महसूस कर रहे होंगे। एक तरफ इलेक्शन कम्पैगन्स और दूसरी तरफ सोशल मीडिया / व्हाट्स ऑप पर लंबे लंबे डिबेट्स। देख कर लग रहा है मानो जो भी प्रेसिडेंट बनेगा, ज़रूर खोजा हज़रात के लिए "अच्छे दिन" ले कर आएगा। दोनों पार्टियाँ लोगो को अपने तरफ लुभाने में जुटी हुई हैं। कही मीटिंग्स है, कही खाने, कही होटल्स में तो कही मस्जिद इमामबाड़ों में। ऐसे में आम जनता को अच्छा खाना ज़रूर मिल रहा है।

इन सब  साथ ऐसा पहली बार दिख रहा है की इलेक्शंस में यूथ्स इतना इन्वॉल्व हो रहे है, शायद ये सोशल मीडिया की देन है। वरना अपने इलाक़े में कैंपेन मीटिंग हो तब पता चलता था की इलेक्शंस आ गए है। इनफार्मेशन के इस दौर में कैंडिडेट्स भी यूथ्स को लुभाने की खासी कोशिशे कर रहे है। विज़न डाक्यूमेंट्स से उन्नति प्रोग्राम पॉइंट्स तक, जितनी राग अलापी जा सकती है सभी का बखूबी इस्तेमाल हो रहा हैं। जो की एक अच्छी पहल है। क़ौम को कॉन्फिडेंस में ले कर ट्रांसपेरेंट तौर पर काम करना  पहल है।

लेकिन इन सब के बीच एक दूसरे पर काफी कीचड़ भी उछाला जा रहा है। मौजूदा प्रेजिडेंट और नए कैंडिडेट्स के बीच ही नहीं, बल्कि उनके सपोर्टर्स के बीच भी घमासान है। उम्मीद है, यह इलेक्शन क़ौम में ना-इत्तेफ़ाक़ी और दरार पैदा ना करे। यहाँ क़ौम को समझना पड़ेगा की इलेक्शंस सही कैंडिडेट को कुर्सी पर इसलिए लाने के लिए हो रहे है ताकि वो अच्छा और फायदेमंद काम कर सके। ना की ऐसे कैंडिडेट को लाने के लिए जो मेरा रिश्तेदार है या मुझे पर कोई फेवर किया हुआ है।

इन इलेक्शंस को समझने के लिए पहले देखना होगा की जमात है क्या चीज़? क्या जमात सिर्फ एक सामाजिक (सोशल) बॉडी है, जिसका मज़हब से कोई लेना देना नहीं है? या फिर ये मज़हब को अच्छी तरह से इम्प्लीमेंट करने का एक ज़रिया है? अगर जमात मज़हबी रुख रखती है तो फिर इस पुरे खेल में मज़हब के जानने वाले उलेमा क्यों नज़र नहीं आते? ये एक जायज़ सवाल है जो हर जमात के मेंबर को अपने कैंडिडेट से पूछना चाहिए और इलेक्शंस के बाद कोशिश करनी चाहिए की उलेमा जमात के लेनदेन और इलेक्शन प्रोसेस में शामिल हो।

इसके साथ ही प्रेसिडेंट / वाईस प्रेसिडेंट की पोस्ट जमात के बड़े लोगो को दुसरो के सामने पेश करती है। ऐसे में उन लोगो का मज़हबी बातो को उनकी ज़िन्दगी में लाना बहोत ज़रूरी हैं। मसलन चेहरे पर दाढ़ी रखना। बाते अच्छे लहजे में करना वगैरह। हम यहाँ किसी पोलिटिकल इलेक्शंस की बाते नहीं कर रहे जहा कोई भी कैसे भी किरदार आदमी खड़ा हो सकता है।

ऐसे सूरत में खुद कैंडिडेट्स की कुछ ज़िम्मेदारियाँ है और हम वोटर्स के कुछ हक़ है जो हम अपने कैंडिडेट्स से तलब कर सकते है।

कैंडिडेट्स की ज़िम्मेदारियाँ:

- इलेक्शंस को ईगो पर न ले
- दीन का काम समझकर सबको साथ ले कर चले
- कम से कम जो चीज़ें दिखने पर वाजिब है, जैसे नमाज़ पढ़ना, दाढ़ी रखना, वगैरह इसका ख्याल रखे। नहीं तो दूसरी क़ौमे हम पर तने कसेगी और क़ौम की बदनामी के लिए कैंडिडेट्स ज़िम्मेदार होगे
- अपनी ज़ात से ऊपर उठ कर, पूरी जमात के भले के लिए प्लानिंग करना जिसमे इकनोमिक मज़बूती, मेडिकल, एजुकेशनल, पोलिटिकल, रिलीजियस, डिपार्टमेंट्स शामिल रखे
- जवानो को अपनी टीम में ले कर उन्हें आगे बढ़ने का मौका दे
- क़ौम में ट्रस्ट बिल्ड करने की तरफ ज़्यादा ध्यान दे ना की तफ़रक़ा कर के इलेक्शंस जितने के लिए काम करे
- छोटे छोटे मसाइल को नज़रअंदाज़ करे और लॉन्ग टर्म प्लानिंग से काम करे
- दीन और मज़हब पर खास ध्यान दे, उसे नज़रअंदाज़ करना अस्ल चीज़ को छोड़ने जैसा है
- याद रहे, ये जमात, ये इलेक्शंस, ये वोटर्स सबकुछ मज़हब की वजह से है और कैंडिडेट इस्लाम की खिदमत के लिए खड़ा हो रहा है।

वोटर्स के हुक़ूक़:
- वोटर्स कैंडिडेट्स से पर्सनल फेवर नहीं मांगे, मसलन घर मिल जाए, या क़र्ज़ माफ़ हो जाए, वगैरह
- वोटर्स भी मज़हब और दीन को सामने रख कर फैसला करे की कौन सा कैंडिडेट मज़हब के ज़्यादा काम आएगा
- वोटर्स खास ध्यान दे की जो वादे किये जा रहे है वो इलेक्शंस के बाद इम्प्लीमेंट हो रहे है या नहीं
- कहीं अपना काम करने के बहाने कैंडिडेट / वोटर मज़हब की बॉर्डर क्रॉस तो नहीं कर रहे हैं?
- जमात के काम काज में उलेमा को अहम किरदार निभाने का मौक़ा दिलाने पर ज़ोर दे
- जमात का कंस्टीटूशन जो काफी पुराना हो चूका है, उसे आज की तारीख के हिसाब से बदलने की मांग करे
- जमात के मेंबर्स के लिए नए स्कीम्स जैसे इन्शुरन्स, मेडिक्लेम, जॉब्स, एजुकेशन, वैगरह पर ज़्यादा ज़ोर दे

याद रहे, अगर वोटर्स आवाज़ नहीं उठाएगे तो कैंडिडेट्स को पता नहीं चलेगा की क्या करना चाहिए। वोटर्स और कैंडिडेट्स साथ मिल कर जमात को एक नई ऊंचाई तक पंहुचा सकते है।  इलेक्शंस के बाद जब काम करने मौका आए तब सारे कैंडिडेट्स और वोटर्स नए चुने गई टीम के साथ मिलकर काम करे। अगर अपोसिशन देना है तो पॉजिटिव अपोसिशन दे और काम को आगे बढ़ाए। इंशाल्लाह अगर क़ौम में इत्तेफ़ाक़ी रही और भरोसा रहा तो क़ौम आगे बढ़ेगी और खुदा नदजीक क़ुरबत के मर्तबे पर पहुंचेगी।

आइये हम (कैंडिडेट्स और वोटर्स) अहद करे की  हम यह इलेक्शंस खुद के लिए नहीं बल्कि खुदा के लिए लड़े और दीन ओ मज़हब के फायदे के लिए काम करे।

Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha Kesar Baug Mumbai ka “Yaad-e-Imam-e-Rahil” ka program misle “Fath-e-Makka” raha

Itwar baroz 12 June 2022 ko Mumbai ke Keaser Baug me Imam Khomeini ki barsi ke mauke par organized kiye gae program “ Yaad-e-Imam-e-Rahil...

Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin... Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...

Traditional Taziya of India COVID-19 ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya...

Naya Shobdebaaz Naya Shobdebaaz

Mere shehr me naya Shobdebaaz aaya hai Jo muddo ko beja hassas banata hai Phir logo ke jazbaat ubharta hai Deen ko deen se ladata hai Me...

Rangeele VP ka Maulana Prem - Kya Sach kya Jhoot Rangeele VP ka Maulana Prem - Kya Sach kya Jhoot

Shahar me pichla Muharram sab ko yaad rahega jab khule aam awaam ko bula kar  VP Sahab ne apni fikr se alag Olema Hazraat par apni milkiyat ...

Rusumaat aur Olema ki behurmati Rusumaat aur Olema ki behurmati

"Jab unse kaha jaata hai ki jo Allah ne nazil kiya hai uski pairavi karo; to kehte hai ki nahi! Hum to usi tariqa se chalege jis ...

Shia Personal Law Board aur Shia People's Party - Kuch Sawalaat!! Shia Personal Law Board aur Shia People's Party - Kuch Sawalaat!!

Hindustan me Shia qaum ke representation ka sawal ek aisa sawal hai jiska jawab milna bahot mushkil nazar aata hai. Agar Qaum ke dasta...

Jannatul baqi se pehle quds kyu??? Jannatul baqi se pehle quds kyu???

Aisa sawal sunne par sabse pehle ek jazbati shia fauran dusra sawal khada kar dega k baitul muqaddas to sunniyo ka hai aur jannat ul b...

Khoja Jamat Elections - Where do we stand? Khoja Jamat Elections - Where do we stand?

खोजा शिया इस्ना अशरी जमात के इलेक्शंस में हम कहाँ ठहरते है? मुंबई में खोजा शिया हज़रात आज कल अपने आपको एक नए माहोल में महसूस कर रहे होंगे।...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments