"Jab unse kaha jaata hai ki jo Allah ne nazil
kiya hai uski pairavi karo; to kehte hai ki nahi! Hum to usi tariqa se chalege
jis par humne apne baap dadao ko paaya"
[31:21]
Allah (SWT) ne deen ko aasan aur insani tabiyat
(nature) ke lihaz se banaya hai, jisme tabdeeli insan ke wujood ke liye khatra
sabit hoti hai. Lekin zamin aur zamane ke lihaz se log alag alag qism ki chize
deen me dakhil kar dete hai jo shuruwaat me to itni nuksaandeh nahi dikhai deti,
lekin lambi muddat me awaam ise deen ka hissa bana leti hai.
Mushkil aur bhi
badh jaati hai jab deen ke values (Aqdaar) ko is nai rusum se nuksaan pahuchne
lage. Is mamle ne Karbala jaisi ek azeem qurbani aur rudaad ko bahot nuksaan
pahuchaya hai.
Karbala jisme shuru se aakhir tak fidakari aur
qurbani hai; hamare samaj me muraad puri karne ka zariya ban gai hai. Jise
dekhe apne dil ke hisab se mannat aur muraad manta hai aur use pura karne ke
liye puri taqat laga deta hai. Society me itni tarah ki mannate milti hai ki
hamara dimaag kaam karna band kar dega. Aur dilchasp baat to yeh hai ki inme se
zyadatar mannato ka deen se koi rabt nahi rehta.
Allah (SWT) ne Quraan me apni hajat talab karne
ke liye raasta bataya hai aur wo hai:
“Aur (musibat ke waqt) sabr aur namaaz ka
sahara pakdo” (2:45)
Hum daawaa to karte hai ki hum Quraan aur
Ahlebait (a) ko maante hai lekin jab practical life me dekha jaata hai to inse
koso dur nazar aate hai aur apni dil me jo aae wo karte hai.
Samaj ke aksar rusumaat isi ki ek kadi hai aur
agar koi aalim humare apne banae hue rusum ke khilaaf zarra barabar bhi awaaz
uthata hai to hum bardasht nahi karte aur apne aap ko badalne ke bajaae aalim
par hi pabandiya aaed karne lagte hai. Ye kaisi nadan harkat hai?
Aalim jab kisi point par discussion karta hai
tab uske saamne Quraan aur Ahlebait (a) ki sahi Hadis hoti hai aur isi ki roshni
me wo apni baat salike se awaam ke saamne rakhta hai. Awaam ko haq hasil nahi
ki wo olema par pabandi laae aur deen ko apne dil ke hisaab se chalane ki
koshish kare.
Lekin society me kuch aur hi dekhne mil raha
hai. Kuch mauqaparast log apne zaati mafaad ke liye buzurg olemao ko daagdaar
kar ke un par pabandi lagane ki koshish kar rahe hai.
Kya unhe pata nahi ki Hadis ki roshni me “Olema
Ambiya ke Waris hai”, “Humare olema ki azmat Bani Israel ke ambiya se bhi Afzal
hai”.
Olema ki behurmati Allah aur uske deen ki behurmati hai aur aisi harkat
ko Allah kabhi maaf nahi karega aur Allah ka hisab bahot si qareeb aur sakht
rehta hai.
Tehrir: Abbas Hindi
0 comments:
Post a Comment