3 Dec 2017

ईद ए मिलाद की खुशियों के दिनों में भाईचारा

उमूमन यह देखा जाता है कि खुशियों के दिनों में लोग अपने आपसी गीले शिकवे भूल कर एक दूसरे से गले मिलते है और मिल जुल कर खुशियां मनाते है।

ऐसा ही कुछ हमे पूरे हिंदुस्तान में देखने को मिला जहाँ सारी शिया क़ौम अहले सुन्नत भाइयो के साथ मिल कर मिलाद ए नबीये करीम (स.) मनाती हुई दिखाई दी।

सिर्फ बड़े शहरों में ही नही बल्कि गाओ कस्बो में भी जश्न धूम धाम से मनाया गया और भाईचारे कक माहौल दिखा।

इतना ही नही, जो लोग इत्तेहाद के मुखालिफ बाते करते है उनके रहबर और मेंबर्स ने भी उम्मते मुस्लिमा को ईद की मुबारकबाद पेश करी।

महाराष्ट्र, गुजरात, उत्तर प्रदेश, तमिलनाडु, कर्नाटका जैसे राज्यो में भी शिया भाइयो ने अहले सुन्नत भाइयो के साथ मिल ककर ईद मनाई और जगह जगह शर्बत और खाने पीने का इंतज़ाम। किया।  महाराष्ट्र में ब्रम्हपुरी, राजुरा, हिंगणघाट जैसे तहसील में ईद का जश्न मनाया गया वैसे ही हैदराबद, चेन्नई, बैंगलोर और मुंबई में भी अहले शिया और अहले सुन्नत सरकार (स.) की आमद का जश्न मनाते और एक दूसरे को ईद की मुबक़राबाद देते दिखाई दिए।

इन सब के बीच कुछ फितना पसंद लोग एक नई बिदअत को ईजाद करने की नाकाम कोशिश कर रहे थे जिसे "हफ्ता ए बरा'अत" का नाम दे रहे है, जिसका मतलब होता है दुसरो से दूर होने का हफ्ता। एक तरफ जहाँ मुजताहेदीन, ओलेमा और अवाम एक दूसरे के नज़दीक आने के लिए आमादा है, वही दूसरी तरफ फितना पसंद लोग अवाम में इंतेशार फ़ैलाने की नाकाम कोशिश कर रहे है।

ओलेमा और अवाम को मिल कर ऐसे फितनापरवर लोगो का पर्दा फाश करके उम्मत को फ़ितने की आग से महफूज़ रखना चाहिए।

अल्लाह से दुआ है कि उम्मत में भाईचारा और यकजहती का माहौल बाकी रखते हुए इसे मज़बूत बनाए और हमे फितना पसंद लोगो के शर से महफूज़ रखे।

तहरीर: अब्बास हिंदी

6 Oct 2017

Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.)

Humne aksar suna hai ki humari qaum ko azadari ne zinda rakha hai; jo sunne me bahot achcha aur dil ko chu lene wali baat hai.

Lekin agar ise haqiqat ki nigah se dekhe to ye samajh pana thoda mushkil dikhai deta hai.

Kuch log kahege ki hum zinda to khana khane aur pani peene se hai; azadari se kaise?

Kuch log kehte hai ki duniya me sirf humari qaum thodi hi zinda hai? Har dusri qaum is duniya me zinda hai masalan Hindu, Buddh, Isai, Sunni, wagairah.

Phir ye kaise kaha jata hai ki is Azadari ne hume zinda rakha hai?

Hume ye dekhna hoga ki "Zinda" kise kaha jaata hai?

- Kya khana khane aur pani peekar jo log saase le rahe hai wo Zinda hai?

- Kya wo log zinda hai jo is Maddi duniya ke liye apna sabkuch bech dete hai?

- Kya kisi zalim ke dar se uske zulm ko sehte hue jeena zinda rehna hai?

- Aise bahot se sawal khade hote hai jab "Zindagi" ki baat aati hai.

Aaiye dekhte hai Azadari hume kya sikhati hai?

Azadari hume sikhati hai ki Izzat ki maut zillat ki zindagi se bahot behtar hai.

Karbala hume dars de rahi hai ki hum bhooke aur pyase shaheed to ho sakte hai, lekin zillat nahi tasleem kar sakte.

Jo qaum maut se ladna seekh jaae use koi nahi hara sakta.

Aaiye ab dekhte hai ki Imam Khomeini apne is statement "Aaj tak is qaum ko Azadari ne zinda rakha hai" se wo kya kehna chah rahe hai?

Inqelab e Islami se pehle wala Iran hum sab ko pata hai, jaha fahasha aam tha, ise Middle East ka Paris kaha jata tha aur yaha ka Baadshah Reza Shah, jo ki bazahir Shia tha lekin American puppet tha, Iran me hijab par bhi pabandi lagane ki baat kar raha tha.

Imam Khomeini ne jab Reza Shah ke khilaaf muhaaz khola, tamam Irani qaum ne Imam Khomeini ki awaaz par labbaik kaha aur ek saath mil kar kaha tha ki "Hum bhooke pyase rehne ko tayyar hai, apne seeno par goliya khane ko tayyar hai, sanctions jhelne ko tayyar hai lekin Reza Shah ke zalim raj me rehne ko ek din ke liye tayyar nahi hai".

- Is qaum me ye jazba kaha se aaya?
- Kyu aisa jazba dusri qaum me nahi hai?
- Kyu dusri qaum me jo inqelab aae hai wo Maddi the aur khane peene par khatm ho jaate the?

Kyuki is qaum ne apna dars Karbala se seekha hai jaha ye sikhaya jata hai ji asl zindagi izzat se hasil hoti hai aur asl izzat Allah ki Riza me hai aur Allah ki Riza Adl ke liye ladne aur Zalim ke khilaaf apni awaaz buland karne me hai.

Humare saamne aisi bahot si qaum hai jo apne inqelab ke shuruaati daur me to bahot josh me rehti hai lekin kuch dino baad zalim se mil jaati hai ya zalim use todne me kamiyab ho jata hai.

Lekin hum saaf taur par dekh sakte hai ki jo Inqelab Imam Khomeini ne laya tha wo aaj bhi zinda hai aur Irani qaum ne Karbala se dars hasil karte hue Zalim America ke saamne kabhi apne irade kamzor nahi hone diye.

Is qaum ne hamesha apne Shohoda ki izzat ki hai. Is qaum ne Iran Iraq jang me 5 lakh jawano ki qurbani qabul ki lekin Zalim America ke saamne jhukna pasand nahi kiya.

Agar hum bhi sahi tariqe se Karbala ko samjh kar us par amal kare to inshaAllah hum bhi dekhege ki hum kisi bhi mulk me ho ya kisi bhi shahar me ho Allah ki madad humare saath rahegi aur hum bhi surkhru hoge.

Beshak Rasul e Khuda (s) ne sach kaha hai ki "Imam Hussain (a) ki shahadat me wo aag aur hararat hai jo Momineen ko qayamat tak (Zulm ke khilaaf) khamoshi se baithne nahi degi."

Aao ek kaam kare..
Karbala aam kare.

Tehrir: Abbas Hindi

8 Aug 2017

Kya Mujtahid ke fatwe ko dekh kar uske Ijtihad se inkaar kiya ja sakta hai?


Jaisa ki hum sab jaante hai ki Shia Isna Asheri Fiqh jise Fiqh e Jafri bhi kaha jaata hai, iski buniyaad Quraan aur Ahlebait (a) par rakhi gai hai aur ise samjhne ke liye ek raah hai jise Ijtihaad kaha jaata hai.

Ijtihad karne ke liye ek taweel rasta hai jisme kam se kam 20 saal ki padhai ke baad Dars-e-Kharij dene aur alag alag mujtahedin ke Dars-e-Kharij attend kar ke hi is field me aage badha ja sakta hai.

Kya ek hadis dekh kar Mujtahid ke fatwe par ungli uthai ja sakti hai jise sadir karne se pehle ek Mujtahid hazaro hadiso ko refer karta hai aur uski sanad, rijal aur bahot se pehlu dekh kar fatwa deta hai?

 
Bilkul nahi! kyuki hum sirf ek hadis dekh rahe hai balki apna fatwa dene se pehle Mujtahid ko ise apne Dars-e-Kharij me bahot se Mujtahedin ke saamne prove karna padta hai.

Humari Fiqh me bahot se Mujtahedin ke bilkul alag alag fatwe hote hai lekin isse aapas me koi takraao nahi paida hota.

Kuch misaal is tarah se hai:
👇🏼👇🏼👇🏼

Namaz-e-Juma ke waqt ko le kar sabhi Mujtahedin ka manna hai ki Zawaal se kaafi waqt hone tak bhi hum Juma ada kar sakte hai lekin Ayatullah Sistani ke fatwe ke hisab se Zawaal se qareebtar agar Jume ka Khutbe ka aaghaz hona chahiye.

Ayatullah Sistani ka ye masla unke ustaad Ayatullah Khoei se alag hai. Isi tarah chand ka masla bhi hai. In maslo me alag alag Mujtahid apni research ke tahat Shia hadiso ki kitab me research karte hai aur uski sanad ke aetebar se hadis ke sahi ya galat hone ke natije par pahuchte hai phir apna fatwa dete hai.

Peacock ka gosht khana:

Kuch hadis me aata hai ki humare Aaimma (a) ne Peacock ka gosht khana haram qarar diya hai.

Masalan, Imam Mohammed Baqir (as) farmate hai ki Peacock aur Khargosh ka gosht khana haraam hai (Mana Yazar ul Faqih, hadith No 4197).

Lekin Ayatullah Sistani ke fatwe ke hisab se Peacock ka gosht khana halal hai (Masla No. 2633 - Slaughtering and hunting of animals » Rules of things allowed to eat and drink).

Ayatullah Sistani ne zarur wo hadise padhi hogi jisme Peacock ka gosht haram hai lekin unki research me bahot si aisi hadis bhi guzri hogi jisme Peacock ka gosht khane me harj nahi jis par Ayatullah Sistani ne apna Ijtihad kiya jiski bina par unhone ye fatwa diya jo ki bilkul sahi hai aur isme shak ki koi gunjaish nahi ki ja sakti.

Chess ka masla: 
Peacock ke gosht ki tarah Chess khelne ka masla bhi hai.

Kuch hadis me Chess khelne ko mana kiya gaya hai lekin bahot se Mujtahedin jin me Ayatullah khamenei, Ayatullah Nasir Makarem Shirazi aur dusre Mujtahid shamil hai; ye kehte hai ki agar Chess par gambling na ki jaae to iske khelne me harj nahi. Is masle me bhi Mujtahedin apni research saikdo hadiso par based rakhte hai jo is tarah ki chizo ke liye milti hai.

Ye natija bhi Ijtihad aur Dars-e-Kharij ke baad nikala gaya hai.

Music ka Masla:

Music ke liye bhi bahot si hadise hai jinme iske istemaal ko haram qarar diya gaya hai lekin Mujtahedin ne do qism ke Music ki baat ki hai 1. Halal Music aur 2. Haram Music jo bahot si hadiso me aata hai, jiske tahat Mujtahid kisi faisle par pahuchta hai.

Ayatullah Sistani aur Ayatullah Khamenei dono is mamle me same fatwa dete hai.

Tashhud me Shahadat-e-Salisa:

Kuch log Hadis le kar aate hai ki Namaz ke Tashhud me Shahadat-e-Salisa padna jayaz hai.

Is hadis ko Mujtahid ne bhi padha hoga lekin unki nazar se is mauzu par hazaro hadise guzri hogi aur unke deep research se ye prove nahi hota ki ye padh sakte hai.

Isiliye Ayatullah Sistani ke nazdik Shahadat-e-Salisa Namaz me padna sahi nahi hai.

Upar di hue kuch misaale hai jo ye batate hai ki Ijtihad aur Dars-e-Kharij ek alag field hai jaha ek do hadis jaanne se kaam khatm nahi ho jaata balki ek Mujtahid apni saari zindagi de kar us maqam tak pahuchta hai ki apni Research aur dusre Mujtahedin ke saath behas o mubahisa kar ke kisi natije par pahuche.

Agar kisi Mujtahid ka fatwa hume batai gai Hadis se match nahi karta, iska matlab ye nahi ki Mujtahid ka fatwa galat hai.
Balki hum abhi tak us field se bahot dur hai aur hum us masle me comment nahi kar sakte.

Nahi to Ayatullah Khamenei ke saath saath Ayatullah Sistani aur Ayatullah Makarem Shirazi galat sabit ho jaaege.

Mujtahid par apna comment sadir karne se pehle hume do baar soch lena chahiye ki hum kis shaksiyat ke muqable me apna muh khol rahe hai.

Yehi Mujtahid aaj saari duniya me Shi'at ki tarweej, tabligh aur hifazat kar rahe hai.

Allah hume Mujtahedin ki qadr karne aur unki izzat karne ki taufeeq ata kare.

30 Jul 2017

Mujtahid ki Tauheen par Federation khamosh kyu?

Kuch dino pehle Ek Aalim ki tauheen ka bahana bana kar apni siyasi rotiya sekne wale Federation ke ahalkar aaj Ek Azeem Mujtahid Ayatollah Khamenei aur Mujahid Fi Sabilillah Syed Hasan Nasrallah ki tauheen par khamosh baithe hue hai.

Na khud Federation se koi letter baazi hui aur na unki member Jamato se kisi tarah ka khat aaya. Sawal yeh hai ki aisa kyu?

Mulk bhar me apni pakad banane ke firaq me lage Rangeele VP sahab ne pressure kar ke aur jamat progress fund ka lalach de kar Jamato se pichle case me condemnation letters to issue karwa liye the kyuki waha unki personality mazboot ho rahi thi.

Lekin jab baat asli mazhabi shaksiyat par aai to Rangeele VP sahab ghoshanasheen (gharo me baithe)  nazar aae.

Jab kisi ne un Jamato se letter issue karne ko kaha jinhone Rangeele VP ke bolne par pehle letters issue kiye the to wo log baukhlaae hue nazar aae. Unke liye sawal ye tha ki Rangeele VP ki maane ya Deeni shaksiyato ke liye awaaz uthae.

Lekin Rangeela VP to apni seat bachane ke liye aur Mujtahedin ki tauheen karne walo ke vote hasil karne ke liye khamosh tha aur uski pittu jamate VP sahab se koi order na milne ki bina par khamosh thi.

- Sawal ye hai ki Federation kis liye bana hai?
- Rangeele logo ko Ummat par thopne ke liye ya phir Deen aur Ummat ke liye kaam karne ke liye?

Agar Federation ke Vision me Deen nahi hai to Ummat ko aise Federationo ko ukhad bahar fekna chahiye aur apni baagdor Mazhabi Olema ke supurd kar deni chahiye.

25 Jul 2017

Rangeele VP ka Maulana Prem - Kya Sach kya Jhoot

Shahar me pichla Muharram sab ko yaad rahega jab khule aam awaam ko bula kar  VP Sahab ne apni fikr se alag Olema Hazraat par apni milkiyat wali Masjido me majlis padhne par pabandi laga di.

Ab kehte hai na:

Boe ped babul ka...
To Aam kahan se hoe?
(बोए पेड़ बबूल का...
तो आम कहाँ से होए?)

Ye baat sach sabit hui. Awaam bechari ki nazro me Olemao ki izzat kam kar di gai.

Kuch malango ne Mujtahedin par lanat malamat ki.. kuch shaaero ne olemao ke khilaaf ashaar gad diye... Kuch log sadko par Olemao ki badtamizi karne lage.

Lekin aag to apne ghar ki Shadiyon me Naach Gana karne wale Rangeele VP sahab ne lagai thi na..

Waise VP sahab ka Federation aajkal  idhar udhar letter baazi karne me mahir hota ja raha hai.

Canada ki jamat ke Secretary ke ghar me unnatural same sex marriage hua.. VP sahab ne letter issue kiya ki haram kaam hua hai, Jamat ko resign karna chahiye.

Apne mulk ki ek jamat ke bahar kisi aam shaks ne masjid ke bahar ek aalim se bad kalami kar di... VP sahab ne aalim ki izzat ka sawal utha kar Jamat se resignation maang liya.

Agar VP sahab ka dil sahi me jal raha hai to apne ghar me hue gaane bajane par resign kyu nahi kiya?

Aalim ki izzat pyari hai to 4 Aalim aur 1 Aalima par jab bhari meeting me gali galoch ke bich awaam ke haatho pabandi lagai tab kyu resign nahi kiya?

Magarmachchh ke aasu bahana, letter baazi karna aur muddo se logo ka dhyan hathana to koi VP sahab se sikhe.

Lekin sawal ab bhi baaki hai.. Bedeen aur Rangeele VP sahab ka aur unki team ka resignation kab?

13 Jul 2017

Rangeela VP aur Rangeeli Secretary: Khoja Community me Gay wedding

Kuch mahino pehle khabar aati hai ki humare shahar ke VP sahab ke ladke ki shadi me naach gana hota hai aur uske photos / videos social media par viral ho jaate hai. Log is harkat ko condemn karte hai lekin VP sahab aur unki DiVision team ise personal life ka matter bata kar logo ko shant kar dete hai.

17 Jun 2017

Khawarij ideology ne Imam ALI (as) ki jaan li

Imam Ali (as),  k jinhone jung e Siffeen k maidan me dushman ki eit baja dee thi unhe khawaarij ideology ne peeche hatne per majboor kar diya aur yehi ideology unke qatl ka b sabab bani.

Khwaarij ideology dushman se zyada nuksaan deh hai.

Jo kaam dushman na kar saka (Imam Ali (a) ka qatl) wo is ideology k maanne waalo k zariye hua.

Khwaarij wo tola tha jo na muaviya ko sahi maanta tha na Maula Ali (a) ko.

Khawaarij muaviya k bhi dushman the aur Ali (a) k bhi, unhe to bas apni tilawat o munajaat per fakhr tha aur kehte k ye dono galat aur hum sahi aur humme se har ek qaari e Quran hai yaani deen hume in dono (muawiya aur Ali a.) se behtar pata hai.

Ye ajeeb ideology aaj humaare muashre me b maujood hai.

Jo dushman k kaam ko asaan kar deti hai hatta dushman se zyada khatarnaak saabit hoti hai.

Hum me aise bohot log mil jaenge jinka ye nazariya hai k maraje ki mukhalifat Karne waale b galat aur maraje ki pairwi karne waale b galat aur hum hi hai jo deen ka behtareen ilm rakhne waale hai.

Inko chahiye k fursat se dono ki taalimaat ko dekhe padhe aur samjhe k kaunsi raah Hukumat e Imam Mahdi (atfs) se qareeb hai. Khawaarijo ki tarah confuse hokar Ali se jung karke muawiya ko support na kare.

Khudaya hume haq o baatil ki pehchaan karne ki taufeeq ataa farma.

16 Jun 2017

Kya Ali aaj bhi tanha hai?

1400 baras beet gae..
Kya Ali aaj bhi tanha hai?

Dushman raahe Ali (a) me mushkilaat paida kar raha tha; lekin duniya wale Ali (a) ko madad karne ki jagah Ali (a) par shak karne me lage the.

Ali (a) akele tanha the.

Ali (a) ki apne Dushmano se jo jang thi,
wo sachchai aur haq ki jang thi, batil ke muqable me. Duniya walo ne haq par apni khwahishon ko zyada tarjeeh di aur Ali par shak kiya.

Ali akele tanha the.

Dushmano ne Ali (a) ke muqable me har fard ko jama kiya. Ya to Ali (a) se ladne ke liye ya to Ali (a) se dur rehne ke liye. Haq saaf nazar aa raha tha.. lekin duniya parasto ne Haq ko nahi pehchana aur Ali (a) ko akele chhod diya.

Ali (a) akele tanha the.

Kya aaj ham nahi dekh rahe.. duniya wale phir se giroh dar giroh jamat bandi kar rahe hai. Ali (a) ke chahne wale bande jiska naam bhi Ali (Syed Ali Khamenei) hai uske khilaaf safbandi ho rahi hai lekin phir bhi duniya parast log is Ali par bhi shak kar rahe hai aur ise Dushman ke saamne tanha chhod kar bhag rahe hai.

Kya Ali aaj bhi tanha hai?

Waqt sabhi bhagne walo se sawaal kar raha hai.

Waqt un logo ko bhagne walo ke saamne namuna aur misaal bana kar saamne rakh raha hai jinhone Ali (a) ka saath diya aur apni jaane Ali (a) ke saath milkar Dushman ke khilaaf ladte hue qurbaan kar di aur shaheed ho gae.

Unka naam aaj bhi zinda hai aur Allah ne unhe azeem maqam ata farmaya.

Jin logo ne apni jaan bachai aur Ali (a) ko tanha chhod diya.. wo zaleel hue aur waqt ne unse har tarha ki nemat chhin li.

Ali (a) ko tanha chhodne wale kamyaab nahi hue.

Lekin phir bhi Ali aaj bhi tanha hai.

Aaj hamare saamne waqt phir se khada hai. Ali (a) ka chahne wala Syed Ali Khamenei Dushmano se lad raha hai aur akela khada hai. Hamare saamne wale us par lanat malamat kar rahe hai. Hum kya kar rahe hai?

Kya Ali aaj tanha hai?

Hamare hote hue Ali tanha nahi reh sakte.. apni awaaz buland kare aur har tarah se apne zamane ke Ali ka saath de aur sabit kare...

HAM KUFE WALE NAHI HAI
ALI AAJ TANHA NAHI HAI.

15 Jun 2017

Rangeele VP ka iftar time

Rangeele VP sahab ki committee saare Hindustan bahot se reasons se mashhur hai, unme se ek hai deeni masael me beja dakhal andaazi.

Team DiVision ka kaam tha ki jamat ke logo ki pareshaniyo ko sunte aur use dur karte, lekin lagata hai baat kuch aage badh gai hai.

Hawaza e Ilmiya Qom se padhe hue Olemao par pabandi lagane ke baad apni manmaani karte hue Rangeele VP sahab ki team ne Furu e Deen me dusre number par aane wale Roze ke iftar aur sehar ke time me fer badal kar diya.

Olema hazraat ki committee ko contact kiye baghair ye deeni faisla qaum ke liye gale se utarna thoda bhari pad raha hai. Log hairan hai ki suraj to usi waqt nikal raha hai aur gurub ho raha hai, lekin iftar aur sehar ka waqt kaise badal diya gaya.

Apne qadam ko explain karte hue har baar ki tarah is baar bhi team DiVision ne what's app ka sahara kiya jisme usi Qom Muqaddas ki ek tanzeem ki research ko pesh kiya gaya jis Qom se padh kar aae Olemao par pabandiya lagai gai thi.

Qaum me batware ke dar se Olemao ne is faisle ki mukhalifat karna sahi nahi samjha.

Lekin sawal ye uthta hai ki kya us VP ki team ko, jisne apne ladke ki shadi me dance party rakhi thi, deeni mamle me dakhal dene ka itna haq hai ki Olemao se consult kiye baghair Iftar aur Sehri ke waqt me tabdeeli le aae?

25 May 2017

Kya ab bhi "Shia People's Party" ko baki rehne ka haq hai?

"Qaumi Halaat" ki pehel jisme "Shia People's Party" ki deeni haisiyat aur Qaum ka naame le kar raajneti karne ke parda fash karne ke jawab me Political Party ke Sadr ke dhada-dhad do teen poster messages aa gae, jin me Sadr sahab ne kahi challenge diya aur kahi gali galoch par utar aae.

Shia Qaum ka aqdar raha hai ki wo kabhi apni Akhlaqi boundaries cross nahi karti. Agar opposition wala na-zeba alfaz istemal kare ya hata-paai par utar aae, phir bhi Akhlaq ki had me rehna Aaimmah (a) se hamne sikha hai. Jung us waqt tak lazmi nahi jab tak dushman deen par hamla na kar de aur ye jung aaj ke ghaibat e Imam (a) ke zamane me mujtahid ki ijazat ke bagair jayaz nahi.

Sadr sahab ko ye samajhna chahiye ki gali galoch karna  aur awaam ke logo par ochi aur gandi galiya dena aur qaum ki namus (aurto) tak ko nahi chhodna, ye sahi tariqa nahi hai. 

Sawal ye uthta hai ki Sadr sahab apne upar uthae gae sawalo se itna pareshan kyu hai?

Kaam par sawal uthae jaane walo se pareshan hone ka matlab hai aap ka kaam mazboot nahi hai. Aap khud hi is sawal ka jawaab dijiye: 
  • Kya paise le kar Qaum ke logo ke liye Railway ki ticket book karna sabse aham kaam baqi rah gaya hai?
  • Kai saalo se momenin har saal 15 Shaban ko "Gateway of India" par ja kar nazr ka ehtemam karte hai; Siyasi taur par us jalse ko apne naam par le lena qaum ka kaam hai?
Ye aam faham ki baat hai ki jo Sadr sahab Siyasi Partiyo ke photos Shia Qaum ke naam ke saath dhadalle ke saath lagate firte hai; kya wo deen ke dard ke saath kaam kar rahe hai ya siyasi faaeda uthane ke liye kaam kar rahe hai? Waise dilo ke raaz ka ilm sirf Allah (SWT) ko hi hai.

  • Kisne Sadr sahab ko haq diya hai ki Qaum ka naam istemaal kar ke Siyasi partiyo ki himayat kare? 
  • Kya sadr sahab ne Shia qaum se is baat ki ijazat li hai? 
  • Kya Shia Olema Sadr sahab ke is faisle ke saath hai? Kya Shia Qaum ke bade idaare is baat se razi hai ki jis shaks ne 1991 ke dango me Musalmano ko shadeed nuksan pahuchaya tha, jisme Shia Qaum ke bhi ghar jale the aur bahot nuksan hua tha, uska photo Shia Qaum ke naam ke saath lagae jaane par unhe koi aapatti nahi hai?

Sadr sahab! Baat samjhiye. Koi aap ka mukhalif nahi hoga agar aap:
  • Qaum ke logo, idaro aur Olemao ki taeed hasil kare
  • Hasil ki hui taeed ko Siyasi mafaad ke liye istemaal na kare
  • Kisi khas party aur sanghatan ki khul kar taeed na kare
  • Kisi vyakti vishesh ki photo Shia Qaum ke banner tale na lagae
  • Qaum ke liye development ka kaam kare
  • Qaum me education upliftment ka kaam kare
  • Qaum ke logo ke liye Railway tickets ka arrangement kare
  • Qaum ke logo ke bich ekjahti aur ittehad qayam kare
Lekin yaad rakhiye! agar aap in me se sab kaam karne ke saath saath Siyasi Partiyo ki chatugiri karte rahege aur sawaal uthane walo ko khuli aam gandi gandi galiya dete rahege to Aap ek Shia hone ka haq ada nahi kar rahe hai.

Tehrir: Abbas Hindi

23 May 2017

Pujari Mulla

Suna tha ki Islam me Shirk sabse bada gunah hai.. Jiske chalte Musalman sar katane ko tayyar rehta hai lekin sar jhukane ko nahi.

Waqt ne aisi karwat badli ki Tauheed ke markaz Imam Ali (a) ke naam lewa dhongi aur natakbaaz siyasi mulla apne bhagwa akao ko khush karne ke liye Hanuman ji ki puja karne lage.

Apni puja ko Ganga Jamuni tehzeeb ka naam dene se pehle yeh tak nahi samajhe ki siyasat ke chakkar me deen ki fajiti ho rahi hai.

Jab ek Shia mulla, jo ki naam nihad Shia Personal Law Board ka spokesperson ho, aisi harkat haq samajh kar aur sina thok kar kare aur ise bhai-chaare ka ek rukn batae.. Aise kat-mulla ki takriro me Musalmano ke dusre maslak ke mannewalo ke liye galiyo ke siwa kuch nahi nikale to isme hairat nahi honi chahiye.

Arey wah! Mulla ji bhi kamal karte hai. Ganga Jamuni tehzeeb jab tak apne bhagwa akao ko khush kar rahi thi to Hanuman Chalisa pad ke puja karna bhi gawara tha.. Aur jaha mimbar se note kamane ki baari aai.. Mulla ji lage sunniyo ko galiya dene.

Ajeeb zamana hai! Koi Rangeela VP ban raha hai.. Koi do takke ka tapori qaum ke naam par People's party ka sadr aur Koi Mulla Pujari..

Deen ka to ab Allah hi malik hai.

Tehrir: Abbas Hindi

16 May 2017

Rangeele VP se Qaum ko kya nuksan?

Rangeela VP ki series ke madhyam se qaum ko ye batane ki koshish ki ja rahi hai ki qaum ke thekedar aur odhdo par baithne wale log kaise hote hai aur inse qaum ko kaise khatre hai. Humare pehle article me VP sahab apne bete ki shadi me kya kya kiye is par baat hui thi aur sath hi me unhone apne deeni markaz par kuch buzurg olemao par jo pabandi lagai thi us par bhi dhyan dilaya gaya tha.

15 May 2017

रंगीला VP

एक शहर में मोमेनीन की बड़ी जमात हुआ करती थी, जिसका VP (वाईस प्रेसिडेंट) और उसके मानने वाले भी उसका हिस्सा थे. 

दीनी जमात होने के नाते मस्जिद और इमामबरगाह को मैनेज करना VP साहब का काम रहा करता था. VP साहब इतने बड़े दीनदार थे की एक मीटिंग में उन्होंने और उनके चेलेचपाटो ने कुछ दीनी ओलोमाओ पर तक पाबन्दी लगा दी. 

एक रोज़ VP साहब के घर में उनके लड़के की शादी का प्रोग्राम बना. पत्रिकाए छपने लगी.. न्योते जाने लगे... फॉरेन से भी लोग आने लगे. यहाँ तक की फॉरेन से उनके चाहिते मजलिस पड़ने वाले यूथ आइकॉन ओरटर भी आ पहुंचे. 

शादी से ठीक एक रात पहले एक बैंक्वेट हॉल में संगीत का प्रोग्राम रखा गया, जिसमे VP साहब के साथ साथ बहार के गेस्ट भी आमंत्रित थे. लोग देख के हैरान थे कि प्रोग्राम तो सही में संगीत का प्रोग्राम था... जिसमे गाना बजाना, डांस पार्टी हो रही थी और VP साहब भी स्टेज के किनारे पर खड़े तालिय बजाते दिखाई दिए.

खैर! प्रोग्राम सही से पूरा हुआ. सभी दोस्तों और रिश्तेदारों ने अपने सारे अरमान पुरे किये और दोस्तों रिश्तेदारों ने पार्टी के फोटोज और वीडियोस सोशल मीडिया पर पोस्ट कर दिए.

फिर क्या था! लोग सवाल उठाने लगे. दीनी मरकज़ के VP साहब के लड़के की शादी में मिक्स गेदरिंग के साथ डांस पार्टी? VP साहब डिफेन्स मोड में आ कर फेसबुक पर स्टेटमेंट देते दिखाई दिए कि पार्टी लड़के के दोस्तों ने आयोजित की थी, इसमें उनका कोई लेना देना नहीं.

मामला तुल पकड़ रहा था. लोगो ने जमात को पत्र भेज कर निंदा करना शुरू कर दिया जिसके जवाब में ये लिखा हुआ आया की लोगो की पर्सनल ज़िन्दगी में दखल अंदाजी करना गुनाह है और ऐसे लेटर्स लिख कर बात को बढ़ाना घीबत है और हराम है.

सवाल ये उठते है की:
  • क्या VP साहब को अपनी जाती ज़िन्दगी में दीन पर अमल करना चाहिए की नहीं?
  • अपने लड़के की शादी में दमके पार्टी आयोजित करने वाले दोस्तों को VP साहब मन नहीं कर सकते थे क्या?
  • जिस VP के घर में दीन नहीं है क्या वो पूरी जमात के नौजवानों के दीन की ज़िम्मेदारी ले कर ओलेमा पर पाबन्दी लगा सकता है क्या?
डांस पार्टी पर सवाल उठाने वालो को गुनेहगार बताने वाले VP साहब इस्लाम का एक अहम् नुक्ता भूल गए जिसे "बुराई से रोकना" कहा जाता है.

जिस दीन पर VP साहब अमल कर रहे है उसके हिसाब से कुछ ऐसी हालत बनती है:
"मैं कुछ भी करू तुझे क्या?
तु कुछ भी करे, मुझे क्या?"

इस्लाम इसका उलट सिखाता है. एक समाज में हर मोमिन की ज़िम्मेदारी है के एक दुसरे को नेकी का हुक्म करे और बुराई से रोके.

VP साहब ना जाने कौन से इस्लाम पर अमल कर रहे है.

आज अवाम सवाल पूछ रही है...
  • क्या ऐसे लोग दीनी मरकज़ के VP की पोजीशन पर अब भी बकी रहने लायक़ है?
  • क्या इन जैसे लोगो को हम जमात का प्रेसिडेंट बनाना पसंद करेगे?
कहानी दिलचस्प है... अब लोगो का मूड देखना होगा!


तहरीर: अब्बास हिंदी

14 May 2017

Rangeele VP ka chunavi Paintra...

हमारे देश मे चुनाव का बड़ा महत्व माना जाता है और इसीलिए चुनाव को हर शहर, ज़िले, राज्य, लोकसभा यहां तक सामाजिक काम करने वाले NGO में भी ज़रूरी रखा गया है।

चुनाव से बड़े बड़े मसले झगड़े और हाथापाई के बगैर हल हो सकते है और बड़ी सरलता से समाज मे एडमिनिस्ट्रेशन लाया जा सकता है।

देश के बड़े शहर की ऐसी ही एक NGO में चुनाव होने थे। जमात के VP साहब को अपने प्रत्याशी को जितना ज़रूरी था। बस VP साहब ने सारी चुनावी प्रक्रिया को ही बदल दिया।

1 Mar 2017

Rangeela VP

Ek shahar me Momenin ki badi jamat hua karti thi, jiska VP (Vice President) aur uske manne wale bhi uska hissa the.

Deeni jamat hone ke naate masjid Aur ImamBargah ko manage karna VP sahab ka kaam raha karta tha. VP sahab itne bade deendaar the ki ek meeting me unhone aur unke chelechapato ne kuch deeni olomao par tak pabandi laga di.

Ek roz VP sahab ke ghar me unke ladke ki Shadi ka program bana. Patrikae chapne lagi.. invitations jaane lage.. foreign se bhi log aane lage. Yaha tak ki foreign se unke chahite majlis padne wale youth icon orator bhi aa pahuche.

Shadi se thik ek raat pehle ek banquet hall me sangeet ka program organize kiya gaya, jisme VP sahab ke saath saath bahar ke guest bhi invited the.

Log dekh ke hairan the ki program to sahi me sangeet ka program tha.. jisme gana bajana, dance party ho rahi thi aur VP sahab bhi stage ke kinare par khade taliya bajate dikhai diye.

Khair! Program sahi se pura hua. Sabhi dosto aur rishtedaro ne apne saare arman pure kiye aur dosto rishtedaro ne party ke photos aur videos social media par post kiye.

Phir kya tha! Log sawal uthane lage. Deeni markaz ke VP sahab ke ladke ki Shadi me mix gathering ke saath dance party? VP sahab defense mode me aa kar Facebook par statement dete dikhai diye ki party ladke ke dosto ne organize ki thi, isme unka koi lena dena nahi.

Mamla tul pakad raha tha.. logo ne jamat ko condemnation letters likhe jiske jawab me ye likha hua aaya ki logo ki personal life me dakhal andazi karna gunah hai aur aise letters likh kar baat ko badhana gheebat hai aur haram hai.

Sawal ye uthte hai ki:

- kya VP sahab ko apni zaati Zindagi me deen par amal karna chahiye ki nahi?
- Apne ladke ki Shadi me dance party organize karne wale dosto ko VP sahab mana nahi kar sakte the kya?
- Jis VP ke ghar me deen nahi hai kya wo puri jamat ke naujawano ke deen ki zimmedari le kar Olema par pabandi laga sakta hai kya?

Dance party par sawal uthane walo ko gunehgaar batane wale VP sahab islam ka ek aham nuqta bhool gae jise "burai se rokna" kaha jata hai.

Jis deen par VP sahab amal kar rahe hai uske hisab se kuch aisi halat banti hai:

"Mai kuch bhi karu, tujhe kya?
Tu kuch bhi kare, mujhe kya?"

Islam iska ulat sikhata hai.. ek samaj me har momin ki zimmedari hai ke ek dusre ko neki ka hukm kare aur burai se roke.

VP sahab naa jaane kaun se islam par amal kar rahe hai.

Aaj awaam sawal puch rahi hai...
- Kya aise log deeni markaz ke VP ki position par ab bhi baqi rehne layaq hai?
- kya in jaise logo ko hum jamat ka President banana pasand karege?

Kahani dilchasp hai.. ab logo ka mood dekhna hoga!

ईद ए मिलाद की खुशियों के दिनों में भाईचारा ईद ए मिलाद की खुशियों के दिनों में भाईचारा

उमूमन यह देखा जाता है कि खुशियों के दिनों में लोग अपने आपसी गीले शिकवे भूल कर एक दूसरे से गले मिलते है और मिल जुल कर खुशियां मनाते है। ऐसा ...

Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.) Azadari Ne is Qaum ko Zinda Rakha hai - Imam Khomeini (a.r.)

Humne aksar suna hai ki humari qaum ko azadari ne zinda rakha hai ; jo sunne me bahot achcha aur dil ko chu lene wali baat hai. Lekin agar ...

Kya Mujtahid ke fatwe ko dekh kar uske Ijtihad se inkaar kiya ja sakta hai? Kya Mujtahid ke fatwe ko dekh kar uske Ijtihad se inkaar kiya ja sakta hai?

Jaisa ki hum sab jaante hai ki Shia Isna Asheri Fiqh jise Fiqh e Jafri bhi kaha jaata hai, iski buniyaad Quraan aur Ahlebait (a) par rak...

Mujtahid ki Tauheen par Federation khamosh kyu? Mujtahid ki Tauheen par Federation khamosh kyu?

Kuch dino pehle Ek Aalim ki tauheen ka bahana bana kar apni siyasi rotiya sekne wale Federation ke ahalkar aaj Ek Azeem Mujtahid Ayatollah ...

Rangeele VP ka Maulana Prem - Kya Sach kya Jhoot Rangeele VP ka Maulana Prem - Kya Sach kya Jhoot

Shahar me pichla Muharram sab ko yaad rahega jab khule aam awaam ko bula kar  VP Sahab ne apni fikr se alag Olema Hazraat par apni milkiyat ...

Rangeela VP aur Rangeeli Secretary: Khoja Community me Gay wedding Rangeela VP aur Rangeeli Secretary: Khoja Community me Gay wedding

Kuch mahino pehle khabar aati hai ki humare shahar ke VP sahab ke ladke ki shadi me naach gana hota hai aur uske photos / videos social...

Khawarij ideology ne Imam  ALI (as) ki jaan li Khawarij ideology ne Imam ALI (as) ki jaan li

Imam Ali (as),  k jinhone jung e Siffeen k maidan me dushman ki eit baja dee thi unhe khawaarij ideology ne peeche hatne per majboor kar di...

Kya Ali aaj bhi tanha hai? Kya Ali aaj bhi tanha hai?

1400 baras beet gae.. Kya Ali aaj bhi tanha hai? Dushman raahe Ali (a) me mushkilaat paida kar raha tha; lekin duniya wale Ali (a) ko mada...

Rangeele VP ka iftar time Rangeele VP ka iftar time

Rangeele VP sahab ki committee saare Hindustan bahot se reasons se mashhur hai, unme se ek hai deeni masael me beja dakhal andaazi. Team D...

Kya ab bhi "Shia People's Party" ko baki rehne ka haq hai? Kya ab bhi "Shia People's Party" ko baki rehne ka haq hai?

" Qaumi Halaat " ki pehel jisme " Shia People's Party " ki deeni haisiyat aur Qaum ka naame le kar raajneti karne ...

Pujari Mulla Pujari Mulla

Suna tha ki Islam me Shirk sabse bada gunah hai.. Jiske chalte Musalman sar katane ko tayyar rehta hai lekin sar jhukane ko nahi. Waqt ne ...

Rangeele VP se Qaum ko kya nuksan? Rangeele VP se Qaum ko kya nuksan?

Rangeela VP ki series ke madhyam se qaum ko ye batane ki koshish ki ja rahi hai ki qaum ke thekedar aur odhdo par baithne wale log k...

रंगीला VP रंगीला VP

एक शहर में मोमेनीन की बड़ी जमात हुआ करती थी, जिसका VP (वाईस प्रेसिडेंट) और उसके मानने वाले भी उसका हिस्सा थे.  दीनी जमात होने के नाते म...

Rangeele VP ka chunavi Paintra... Rangeele VP ka chunavi Paintra...

हमारे देश मे चुनाव का बड़ा महत्व माना जाता है और इसीलिए चुनाव को हर शहर, ज़िले, राज्य, लोकसभा यहां तक सामाजिक काम करने वाले NGO में भी ज़रूरी...

Rangeela VP Rangeela VP

Ek shahar me Momenin ki badi jamat hua karti thi, jiska VP (Vice President) aur uske manne wale bhi uska hissa the. Deeni jamat hone ke naa...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments