Showing posts with label Hussain. Show all posts
Showing posts with label Hussain. Show all posts

30 Aug 2020

Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...

Traditional Taziya of India
COVID-19
ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya aur sadiyo se jo Manzar saatvi Muharram se lagataar roze aashur aur shaame gariba tak dikhaai dete the, uski jagah sadko par sannata tha.
Imambargaahe aur Azadari ke markaz sune reh gae aur Momeneen ke dil tute hue apne Maula (a) ke masaeb par akele me rone par majboor hue. Ba-Khuda, ye Muharram hamesha yaad rahega aur Azadarane Syyad-ush-Shohoda (a) puri koshish karenge ki aaj se jitna ho sake apne Maula (a) ki azadari har tarah, har haal me ittefaq aur aapsi bhaichare ke saath mil kar pure josh-o-kharosh se aur zyada taqat o quwat ke saath karenge.



Bombay High Court ne 5 logo ko symbolic tarike se "Taziya" nikaalne ki ijazat de di aur "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko ye "Taziya" le jaane ki zimmedari saupi aur saath ye bhi kaha ki Maharashtra ke tamam Muhibbe Imam Hussain (a) ki taraf se Aashura 2020 me sirf ek "Taziya" nikala jaaega.

Isme koi shak nahi ki "Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ke liye ye fakhr ke saath saath zimmedari ka bhi maqam tha. Zimmedari is baat ki ke wo is baat ka khyal karte ki Taziya is tarah se nikaale ki is sirf Mumbai ke Shio ke jazbaat ka khyal na rakhte hue saare Maharashtra ke har us shkas ka bhi khyal rahe jise Imam Hussain (a) se Muhabbat hai.

Maharashtra me sirf Shia hazraat Muharram ka juloos nahi nikaalte, Aashur ke din Shia ke saath Sunni, Hindu, Buddhist aur digar mazhab ke manne wale bhi Imam Hussain (a) ki yaad manate hue "Taziya" nikaalte hai. Maharashtra me bahot si Shia jamate bhi hai jo aaj bhi "Taziya" nikaalte hai. Aashur ka "Taziya" itna mashhoor hai ki Bombay High Court ne "Taziya" nikaalne ki ijazat di, na ki "Taboot".

"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko "Taziye" se kya pareshani thi wo to unke arakeen ko hi pata hoga lekin "Taziya" sirf Shia nishani nahi balki saare insano me "Imam Hussain (a)" se jise bhi ulfat hai wo "Taziye" ko dekh kar Karbala ke Haram e Imam Hussain (a) ko yaad karta hai wo apne dil me girya karta hai.

"Idare" ne "Taziye" ki jagah "Taboot" nikaal kar na sirf Maharashtra ke Muhibbe Imam Hussain (a) ke armaano ko thes pahuchaai hai balki Bombay High Court ke order ki bhi mukhalifat ki hai jisme saaf likha hai ki "Taziya" nikalne ki ijazat hai.

Isi ke saath jis truck par "Taboot" nikla gaya us ke saamne likha gaya tha "Maqsad-e-Karbala, Aliyun Waliyullah" jo sirf "Idaara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ki soch hai, Imam Hussain (a) ummat ki Islaah ke liye qayam kiya tha.

Isi ke saath jis truck par Taboot nikala gaya, kyu ek bhi Aalim-e-Deen ko saath me nahi rakha gaya? Jabke is saal Mumbai me lagbhag saare Olema maujood the?

"Taziya" nikaalne ki ijazat milne ke baad "Idare" ki zimmedari itni badi thi ki wo saare insaano ke jazbaat ka khyal karte hue Imam Hussain (a) ki Shahadat ki munasibat par saare Muhibbe Imam Hussain (a) ki niyabat me Aashur ka "Taziya" nikaalte, lekin afsoos itni badi zimmedari ko "Idara-e-Tahaffuz-e-Husainiyat" ne sirf apne "Idare" ke zaati faaede ko dhyan me rakh kar har kaam kiya.

"Idara-e-Tahaffuz-e-Hussainiyat" ko iska jawaab Janabe Fatima (sa) ko dena hoga aur Allah is zimmedari ko sahi se pura nahi karne par "Idaare" ke arakeen se sakht puch karega. Isi ke saath "Idaare" ke arakeen Muhhibe Hussain (a) ke bhi hamesha jawabdeh rahenge.

27 Sept 2018

Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat

Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the?

Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta tha... Balki Yazeed ne ek aisa kaam kiya tha jisse ki samaj ka tana bana kharab ho raha tha.

Wo kya kaam tha?

Yazeed ne apni hukumat me aisa mahol banaya tha ki agar koi bura kaam karta to use rokne tokne wale ke dil me khauf rehta ki agar kuch kahega to Yazeed ka koi gunda mawali aa kar taklif na de de.

Iske ulat agar koi kisi ko neki ka hukm karta ya deen ki baat karta to use khud Yazeed ya uske chele chapate aa kar ye kehte ki tum apni zindagi jio lekin dusro ko ye sab neki weki mat sikhao.. isse mahol kharab hota hai. Khamosh baith kar samaj me shanti banae rakho.

Lekin jab koi hasi mazak, tanz, jokes hatta ke buri chize bhi samaj me share karta to use koi rokna to dur uske khilaf awaaz tak uthane ki koshish na karta.

Iska sidha sidha matlab tha ki Allah ke batae hue qanoon jise Amr Bil Maroof aur Nahi Anil Munkar kaha jata hai uska ulta hone laga. Jise Nasihat Bil Munkar aur Sukut Bil Maroof kaha ja sakta tha.

Aaiye hum apne atraaf dekhe!

- Kya aaj samaj me bina kisi khauf ke hum dusre ko acchi bato ki taraf dawat de sakte hai? Ya phir hum par Mulla, Shana ya badi badi karne wala jaise tags lagte hai?

- Kya samaj islami values se dur nahi ja raha hai? Aisa kyu hai ki ek Momin kisi dusre momin se deen ki baat nahi kar sakta?

- Kya humare samaj ke Ohdedaaro ne aisa mahol to nahi bana diya jahan Quraan, Deen aur Achchi baate karne ko samaj me fasad paida karna kaha ja raha hai?

- Kahi aisa to nahi ki buri bato par yehi Ohdedar khamosh rehte hai aur koi action nahi lete?

Agar aisa hai to phir samajh lijiye ki aaj ke daur me humare halaat waise hi hai jaise Karbala ke pehle Yazeed ne bana diye the.

Hum par zaruri hai ki agar hum aise halaat dekhe to Sachchi ka sath dete hue khade ho jaae aur aise samaj me deen ko aam kare, achche Olema ko samaj me laae aur samaj ke Ohdo se (Positions se) bure aur kharab logo ko dure rakhe.

Agar aaj aisa nahi karoge to kal hum dekhege ki samaj se deen gayab ho gaya hai aur deen ke naam par sirf rusumaat reh gai hai aur aise samay me humari nasle (aulaad) humare haath se jaane lagegi aur bachche ma baap ki aankho ke samne bure kaam karenge lekin walidain me ye taqat nahi rahegi ki unhe rok sake.

Jagiye.. Iske pehle ki burai khatm karne ke liye hume zyada badi qurbani deni pad jaae!

3 Nov 2015

Hussain (a) kis ke hai?



Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jisse har koi apne aap ko jodta dikhai deta hai. Koi unhe unki Rasulallah (s) ki nisbat se mohtaram samajhte hai to koi unhe Imame Masum bulakar ehteraam dete hai. Aur koi unke paigham ki wajah se.

Wahi par kuch aise bhi hai jo Imam Hussain (a) ko unke sach aur azaadi ke liye zalim ke khilaaf qayaam ke liye apna role model jaante hai. Baat itni hi rehti to sahi tha; lekin kuch shar pasand log is connection ko prove karte hue dusro ko kafir aur jahannumi tak keh baithte hai; jo kisi bhi surat me sahi nahi hai.

Aaiye! Hum Imam Hussain (a) ki zindagi me jhak kar dekhe ki Hussain (a) kiske hai?

Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin... Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...

Traditional Taziya of India COVID-19 ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya...

Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat Samaj me Karbala ke pehle jaise halaat

Kya aapko pata hai Karbala ka waqya runuma hone ke pehle halaat kaise the? Sirf itna nahi tha ki Yazeed sharab pita tha aur badkari karta t...

Hussain (a) kis ke hai? Hussain (a) kis ke hai?

Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jisse har koi apne aap ko jodta dikhai deta hai. Koi unhe unki Rasulallah (s) ki nisba...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments