Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jisse
har koi apne aap ko jodta dikhai deta hai. Koi unhe unki Rasulallah (s) ki
nisbat se mohtaram samajhte hai to koi unhe Imame Masum bulakar ehteraam dete
hai. Aur koi unke paigham ki wajah se.
Wahi par kuch aise bhi hai jo Imam Hussain (a) ko unke sach aur azaadi ke
liye zalim ke khilaaf qayaam ke liye apna role model jaante hai. Baat itni hi
rehti to sahi tha; lekin kuch shar pasand log is connection ko prove karte hue
dusro ko kafir aur jahannumi tak keh baithte hai; jo kisi bhi surat me sahi
nahi hai.
Aaiye! Hum Imam Hussain (a) ki zindagi me jhak
kar dekhe ki Hussain (a) kiske hai?
Humne Imam Hussain (a) se related kahaniyo me
suna hai ki apne bachpane me Imam Hussain (a) ek Christen Rahib ki sifarish le
kar apne Nana ke pass gae the aur uski madad ki thi. Imam Hussain (a) aur ek
gair Musalman ki madad? Kya ye baat hairan karne wali nahi hai?
Apne Karbala ke safar par Imam Hussain (a)
bahot se logo se mile; unhe apni baate samjhne ki koshish kari. Is dauran bahot
se aise the jo Imam ko chahte the aur kitne hi Imam ke mukhalif. Lekin Imam (a)
har kisi ke paas ja kar apni baat batate aur bahot se ilaaqo me jaha wo khud
nahi pahuch sakte the, apne qasid ko bheja aur zulm ke khilaaf khade hone ka apna
paigham sabhi ko pahuchaya.
Kya Imam (a) ka paigham sirf unke chchne walo
ke liye tha? Kya Imam (a) ne gair Musalmano ko apne paigham se dur rakha tha?
Kya Yazidi fauj ko Imam (a) ne dushman bata kar unhe apne paigham se dur rakha
tha?
In sab ka jawaab ek hi hai; “Paigham-e-Hussain
Ibne Ali (a) har insaan ke liye tha aur ta Qayamat har insaan ke liye rahega”
Imam (a) Makka pahuch kar aise logo se bhi mile
jinme aap se mukhtalif fikr rakhne wale log maujood the masalan Abdullah bin
Zubair. Imam (a) aise logo tak bhi apna paigham pahuchaya jo Imam (a) ke bilkul
khilaaf the aur Teesre Khalifa ke khas manne wale the jaise Janabe
Zohair-e-Qain. Imam (a) yahi par nahi ruke, balke aise logo tak pahuche jo
Yazidi fauj ke aam sipahi nahi; sipahsalaar the jaise Janabe Hur.
Hum aaj apni society ko dekhe; kya hum Imam (a)
ki seerat par amal kar rahe hai?
Agar Shia se pucho to Sunni ko batil qarar dete
hai aur khud ko Jannat ka haqdar samajhte hai. Usi tarah Sunni hazraat Shia ko
Imam Hussain ka qatil batakar ye afwaah udaate hai ki ye matam aur giriya apne
baap dada ki galtiyo ki maafi ke liye hai. Baat itni aage pahuch gai hai ki Hindu
ya isaai ya kisi aur ko Karbala, Muharram aur Imam Hussain (a) ke paigham se
dur rakhne ki puri puri koshish ki jaati hai aur ye kaha jaata hai ki tum kuch
bhi kar lo lekin kamiyaab nahi ho sakte kyuki Jannat ke sirf aur sirf hum
haqdaar hai.
Kya yahi seerat e Imam (a) hai?
Gandhi, Mandela aur na jaane kitne krantikariyo
ne Karbala se dars hasil kar ke bade bade mulko aur qaumo ko zulm se nijaat
dilai aur hum hai ki apne aap ko isi Muharram aur Karbala se Jannat ka haqdaar
sabit karte hai.
Kya ye Imam Hussain (a) ke paigham ke saath
wafadaari hai?
Kya hum us azeem qurbaani ka haq ada kar rahe hai?
Tehrir: Abbas Hindi
0 comments:
Post a Comment