30 Aug 2020
1 Oct 2018
Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai?
Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki "Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle fatwa jaari kiya gaya tha ki Hussain (a) wajibul qatl hai".
Samajh me ye nahi aata tha ki jab Yazeed ko deen se koi lena dena nahi tha to Takbeer ka naara kyu lagaya gaya? Fatwa lene ki zarurat kyu padi?
Ye chize aaj samajh me aa rahi hai.
Kuch mafaad parast log deen ke Ohdedar bane baithe hai jaise "Rangeela VP" aur deen, Janabe Fatima (s), Azadari aur rusumaat ka naam le le kaar awaam ko bewakuf bana rahe hai. Naam to deen ka lete hai aur rukume shariya (religious donations - Khums, Masjid building donation, etc.) Collect karte hai lekin jab ye fund dene ki baat aati hai to condition lagate hai ki unki baat manna padega.
Agar koi inki mukhalifat kare to unhe fund rokne ki dhamkiya dete hai.
Ye thik usi tarah hai jaise Yazid kiya karta tha! Khud to be-deen tha, naach gana kiya karta tha, haram halaal me farq nahi pata tha, shariat ka koi qanoon nahi pata tha; lekin Zabardasti deeni mansab par chad baitha tha jaisa ki aaj kal Rangeela VP aur uske chahite Chele chapate, Counsellors aur kuch jamat ke presidents deeni markaz ke seth ban baithe hai.
Agar koi inke khilaf ja kar hatta Majlis e Imam Hussain (a) bhi kare to ye log un par bhi pabandi lagate hai aur Majlis karwane ki saza me Maafi Nama likhwate hai. Kya ye Yazidi Sunnat nahi hai?
Yazid khud aa kar logo par zulm nahi karta tha balki uske niche wale log uski chaplusi me ye kaam karte the. Aaj bhi dhamki uske chele de rahe hai que awaam ko dabane ke liye gunde mawaliyo ko samne khade kar dete hai. Agar awaam gundo se nahi dari to fund rok lene ki dhamki dete hai.
Jab bhi hum aise mahol ko samne dekhe to humara kaam hai ki ek jut ho kar aise Rangeelo ke khilaf apni awaaz buland kare. Agar aisa nahi karoge to zalim mazboot hoga aur haq kamzor.
Isme darne ki zarurat nahi hai, InshaAllah fund ka intezam Allah kar dega aur zalim ke khilaf khade hone walo ki hifazat bhi Allah ke zimme hai.
Aao ek kaam kare, karbala aam kare
Zalim ke khilaaf mil jhul kar khade ho kar ye dikhaae ki aaj hum Imam Hussain (a) ki "Halmin Nasir" ki sada par "Labbaik" kehne wale hai.
Was Salam
27 Sept 2018
Shia aur Shi'at
Do lafz "Shia" aur "Shi'at" sunne me to ek jaise hi lagte hai lekin dono me zameen aasmaan ka farq hai.
Aaj ke zamane me ek taraf Shia use kehte hai jo kisi Shia ke ghar me paida hua aur apni zindagi me Shia rasmo riwaj pure karta hai, phir wo samajh ke kare ya baghair samjhe.
Wahi dusri taraf "Shi'at" ek maktab / institution/ fikr / Soch ka naam hai jiske liye kisi ko Shia ke ghar me paida hone ki zarurat nahi, rasmo riwaj pure karna wajib nahi balki Shi'at ke batae hue usoolo ko apne zindagi me utarna zyada zaruri hai.
Shi'at ka Sabse bada usool hai Zulm ke samne khada hona aur Mazloom ki himayat karna. Yehi baat Imam Ali (a) ne apni Wasiyat me kahi aur isi usool ko samne rakh kar Imam Hussain (a) ne Karbala me qayam kiya tha.
Kisi Shaaer ne bahot khoob kaha hai:
Suno sadae Karbala, Hussain ki zuban se!
Ye tauqe Jabr tod do sitam ke waar mat saho
Humara saath do na do, Ghulam ban ke mat jiyo.
Agar hum Shia ke ghar me bhi paida hue hai aur saare Rasmo Riwaj bhi ada kar rahe hai lekin Shi'at ke usool humari zindagi me nahi hai to hume sochna padega ki hum sahi hai ya nahi.
11 May 2016
Imam Hussain (a) – Zulm ke khilaaf mazboot diwaar
3 Nov 2015
Hussain (a) kis ke hai?
Aashur ko Mumbai me "Taboot" to nikal gaya lekin...
Traditional Taziya of India COVID-19 ki guidelines ka bahana bana kar Azadaro ko apne mazlum Imam (a) par dil khol kar rone tak na diya gaya...
Yazeed jaiso ki hukumat kaise banti hai?
Hum ne Majlis aur Nauho me aksar suna hoga ki " Qatl e Hussain (as) hua Nara e Takbeer ke sath", "Imam ki shahadat se pehle f...
Shia aur Shi'at
Do lafz " Shia " aur " Shi'at " sunne me to ek jaise hi lagte hai lekin dono me zameen aasmaan ka farq hai. Aaj ke ...
Imam Hussain (a) – Zulm ke khilaaf mazboot diwaar
Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jo zulm ke khilaaf ek mazboot diwaar nazar aate hai. Aap (a) ki wiladat hijrat ke baad Madi...
Hussain (a) kis ke hai?
Imam Hussain (a) ek aisi shaksiyat hai jisse har koi apne aap ko jodta dikhai deta hai. Koi unhe unki Rasulallah (s) ki nisba...