Showing posts with label deen. Show all posts
Showing posts with label deen. Show all posts

20 Nov 2015

IMAN EK QILA

Allah ne Nafse Insani ko gunahon se mahfooz rakhne ke lia panch forts banaye han. Ager insan in ki pasdari karega to Iblees us ke nafs ko uske iman ko koi nuqsan nahi pahucha sakta aur in Qilon ma insan sabr o qana-at ke zaria dakhil ho sakta ha. yeh panch security system han.

1-Wajibat:- jis ka kerna wajib aur terk kerna mujibe azabe Ilahi ha . Ager wajibat ki adaigi banda nahi kerta tu bandigi se kharij ho jata ha.

2-Mustahibbat;- jin ko anjam dene ma Allah ki janib se Ikramat aur be panah sawab han.  wajibat se bhi kai guna kahi 10 guna kahin hazar guna ziadah sawab ahadees ma bataaya gaye ham, lekin wajibat ke ada kerne ke bad werna kuch nahi milega. Maslan wajib namaz chor ker namaze shab parhe ya wajib roza chor ker mustaheb roza rakhe to koi sawab nahi milega. Mustaheb jan boojh ker terk kerna ma koi azab nahi.

3- Haram :- jinke kerne ka azab ha aur  jo jan bujh ker haram kare  woh Allah ka baghi hoga.

4- Makroohat:- wo amr jin ko Allah ki khushnoodi ke lia chorne ma sawab ha aur kerne ma koi saza nahi milegi bas iman ke derajat ma kami ho jayegi.

5-Mubahat :- ya halal jin ko kerna ya na kerna  ma koi sawab o gunah nahi
Allah ne Momin ke iman ki hifazat ke lia yeh panch qila ya security systems  banai han jinko Iblis ek ke bad ek torta ha lekin security systems ma momin ka 5 qilon ma pahla gate Mubah ya halal ka ha jahan se Shaitan use tor ker aage barhta jata ha yahantak ke usko bande hone se baher ker deta hai

1- Mubah . security system ka yeh qila ka pahla gate ha . hamko sabse pahle isi per pahre bithana ha Iblees yaheen se dakhil hota ha aur koi dusra rasta ha bhi nahi. Jisne is gate ko mahfooz rakha woh Allah ki Qurbat ma rahega aur uske Iman ka mayar bulandter hoga jiski Akhri had kulle Iman ki ha. Woh Qaba Qosain ki manazil ta ker leta ha . Hadeese Qudsi ma ha Ai bande tu mera ho ja ma tera ho jaoonga. Tu meri bandigi ker Ma tujhe apna jaisa bana doonga.

Bazahir Halal ya mustahebat insan ki zindagi ki Aasani ke lia han . lekin yahan insan ki will power ka imtihan hota ha. Mislan. Halal Rozi se halal khana mohayya kerke zindagi ki hifazat ke lia bhook mitana wajib ha. Insan Muraghghan qeemti laziz ghiza bhi kha sakta ha aur jow ki aisi sookhi roti jisko torna bhi mushkil ha . lazzaton ko chor ker islia khata ha, woh bhi itni ki jo zindagi ke lia zaroori ho. Yeh soch ker ki Allah ki makhlooq ma koi aisa na ho jisko khana na mila. Kapra aise pahne jisma pewand ke lia derzi ko dete hua sharm aaye . narm aaram deh bister ke badle boria jiska bister ho .

Wo yatimon ka sahara woh ghareebon ka sipar..

Arsh pe jiske qadam bori jiska bister !!

Yeh tu akhri had ha apne nafs per control kerna ki ab insan jitna ker le uske haq ma behter ha . yeh jan le ki Iblees isi derwaza ko sabse pahle torta ha. Maslan pahle insan lazeez khanon ka shoqeen hoga .

badmaza khana use pasand nahi aayenge . Lazzat ke lia woh makrooh se parhez nahi karega sochta ha koi gunah to ha nahi chalo khane ma kia herj. Iblees  Yahan Mubah ka derwaza insan ko lazzaton ma dal ker usae tor ne ke bad makrooh ka derwaza bhi tor deta ha. Du kamyabian usae mil gayeen ab woh haram ki taraf barhta ha . lazzaton ka aadi insan jab usae mohayya nahi ker pata to sabr o qana-at ka daman uske hath se chhootne lagta ha. Woh rishwat khori ghazb jaise gunah ya haram ma mubtila ho jata ha.

Aise insan ko jab kisi dawat ma bulaya jata ha tu uski aankhen band ho jati han woh yeh nahi dekh pata ke bulane wale ka paisa halal ha ya haram kamai ka ha ya kisi ka ghazb kia hua paisa to nahi ha, woh to lazzat ki lalach ma barh barh ke hath barhata ha .jaisa ki Hazrat Ali As ne Apne governo ko khat likha tha ki hamko maloom hua ha ki tumna ek aise Raees ki dawat qubool ki jahan ameer bulae jate han ghareeb bhagae jate han. Aur tum barh barh ker lazeez khanon se apna shikam bhar rahe tha .

tafseeli khat Nahjul balgha ma maktoobat ma mil jayeha. Isee tarah malboosat ma insan luxurious ho jata ha silk haram ha gold haram ha phir bhi pahenta ha Iblees yahan bhi mustahab ke bad makrooh aur haram ke dewazon ko torker Iman ko berbad ker deta ha aur use baghi bana deta ha. Qeemti malboosat mohayya kerta ha jabki kitne momin aise han jin ko kapra pahenna ke lia nahi unka haq nahi deta phir fakhr o mubahat kerta ha ghuroor o takabbur kerna lagta ha ager kamai kam ho tu rishwat bemani ma mubtila hota ha . 

dusre ke branded kapron ko dekhker hiras lalach ma Iblees dal ker use haram ki taraf maael kerta ha. Isee tarah shandar kothi makan sawarian cars dekhta ha hiras paida hoti ha ki uske pass bhi aisa hi makan car aurton ke pass qeemti zewar malboosat hona chahia makan ki desighning fashion ke aaseb ma mubtila ho jata ha ghareeb nadaron ki taraf se aankhen band ker leta ha. Bulki unka haq bhi ghazb kerna lagta ha. Ab gunahon ki taraf bahut tezi se bhagta ha khud gharzi jaise ummul amraz ma mubtila ho jata ha jo zulm jhoot fareb makkari dagha wada khilafi ghazb gheebat jaise gunahon ko janam deti ha.

Ab uska chotha merhala mustahibbat ke qila ko torna hota ha . Admi luxuries fashion aur uske lia haram ya halal tariqa se mohayya kena ma itna waq deta ha ki mustahibbat chhootne lagte han. Iblees is qila ko bhi tor deta ha .

Ab uska panchwan marhala wajibat ke qila ko torna hota jo uske lia ab bahut aasan ho jata ha . Masroofiat ke sath sath jab Insan Haram kerna lagta ha gunahon ma mubtila hone lagta ha uska dil apne aap wajibat se hatne lagta ha .

wajibat ke qila ke toot-ta hi Insan Allah ki bandigi se nikal jata ha aur kufr ki manzil ma aajata ha . Niza (marta waqt ) Shaitan  bar bar kahta ha ukfur billah kafir ho jao aur woh kafir ho jata ha uske toba ka derwaza bhi band ho jata ha. Iblees ka wada poora ho jata ha. Allah ham ko aise waqt se bachaye aur wilayet e Ali per gamzan ker aur unki parawi ki tofeeq ata ker La Ilaha Illallah Mohammedur Rasoolullah Ali an Waliullah wa khalifatuhu bila fasl

IMAN EK QILA IMAN EK QILA

Allah ne Nafse Insani ko gunahon se mahfooz rakhne ke lia panch forts banaye han. Ager insan in ki pasdari karega to Iblees us ke nafs ko us...

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments