1400 baras pehle jab Hamare Pyare Nabi (s) is
duniya se rukhsat hue the, us waqt Madine ki galiyo me ek Mard aur ek Aurat
ghar ghar ja kar logo ko Khuda ke ek behtarin nizaam “Wilayat” ke baare me yaad
dahani kara rahe the, jiske baare me Huzur (s) ne kuch hi dino pehle apne
aakhri Hajj se laut te waqt logo ko “Ghadeer” naam ki jagah par jama kar ke
bataya tha, aur kaha tha ki agar duniya aur aakhirat me sarbuland rahna chahte
ho to Nizaam-e-Wilayat ko mazbooti se thame rahna. Aur kaha ki “Allah tumhara
Wali hai, Mai tumhara Wali hu aur mere baad Allah ki janib se Imam Ali (a)
tumhare Wali hai”.
Lekin afsoos, apne zaati mafaad ke liye Ummat
ke kuch logo ne ye haq zamane ke Wali tak nahi pahuchne diya aur khud us mansab
par baith gae. Lekin ek Ilahi mansab par ghair Ilahi bande baith kar kaise
insaaf kar sakte the! Phir kuch aise halaat tabdeel hote hai ki aaj 1400 baras
ke baad duniya ko ye bolne ka muqa mil jata hai ki Islam talwaar ke zor se
faila hai. Ye to ek misaal hai, aisi bahot si chize hai jo Ilahi Wilayat ke
mansab par dusre logo ko bithane ki saza me ummat ko mili hai.
Wilayat ke saath adl na karne ka khamiyaaza fauri
taur par ummat ko mila aur 50 saal ke andar andar Yazeed jaisa zalim aur jabir
baadshah Musalmano ka sarparast ban gaya. Yazeed ne na sirf logo par ziyadatiya
ki balki sire se Islam ko hi mitane ke piche pad gaya. Yazeed ke chungal se
deen ko bachane ke liye Huzur (s) ke Nawase, Imam Hussain (a) ko apni jaan ki
qurbani pesh karni padi.
Uske baad ek ek karke Ahlebait (a) ke gharane
ke Imam aate rahe lekin Khilafat ka ohda sambhale naam nihaad khulufa unke sath
bura bartaao karte rahe, yaha tak ki sabhi Imamo ko Shaheed kar diya gaya.
Allah (swt) ne apna jalwa dikhaya aur apni aakhri Hujjat, Imam Mehdi (ATFS) ko
, pardae ghaib me chupa liya.
Lekin ek baat ghaur karne ki hai, ek waqt tha
jab tanha Ali (a)-o-Zahra (s) Madine ki galiyo me logo se Wilayat ke difa ke
liye daawat de rahe the aur koi sath dene ke liye tayyar nahi tha. Waqt ke
guzarne ke saath, logo ko fikre Wilayat ki kami mehsus hone lagi aur Aaimmah
(a) ke zamane me unke mannewalo ki tadaad me musalsal izaafa hota raha. Log
sach aur haq ko pehchan rahe the aur unke manne wale bad rahe the. Lekin phir
bhi ye tadaad itni zyada nahi thi ki Ahlebait (a) apne haq ke liye khade hote.
Khas kar ke jab quality ki baat ki jae, to is tadaad me bahot kam log us
kasauti par khade utarte the jo ki Ahlebait (a) ko chahiye thi.
Aaj bhi waqt waisa hi hai. Ahlebait (a) ke
manne wale aabadi ke hisab se duniya me bahot kam hai, aur jo hai bhi, wo us
quality ke meyaar par khare nahi utarte. Lekin pichle kuch saalo me ek chiz me
tabdili aai hai jiski wajah se saari duniya Shiat ke naam se aashna hui hai.
1400 saal se aaj tak jo qaum zaalimo ke zulm tale dabti chali aai hai; muttaqi,
jabaaz aur pairo-e-Mujtahid Irani inqelaabiyo ki himmat aur jazbe ne Imam
Khomeini qayadat me duniya ke zalim tarin nizaam America ke bithae hue zalim
baadshah Reza Shah Pehlavi ko Tehran se bahar nikal feka aur sarzamine Iran par
tarikh me pehli baar Imam Ali (a) ki zahiri khilafat ke baad Ahlebait (a) ki
fiqh ka nifaaz ek faqih ki qayadat me Wilayat-e-Faqih ki shakl me duniya ne
dekha.
Yeh koi aam baat nahi hai jo ki sarsari me
nazarandaaz kar di jaae. Nizaam-e-Wilayat, jiski pehchaan Huzur (s) ne Ghadeer
ke maidan me karai thi, jiske zere ehtemaam qanun-e-Ilahi zameen par ek Wali ki
qayadat me nafiz hua tha. Ye baat dhyan rahe ki Wilayat-e-Faqih kisi bhi surat
me misle Wilayat-e-Imame Masum nahi hai balki sirf aur sirf ghaibat ke zamane
me Imam ke batae hue raaste par chalne ka naam hai. Jaise hi zahure Imame
Zamana (a) hoga, ye hukumat apne aap ko Imam (a) ke qadmo me pesh kar degi, aur
haqiqi nizame Ilahi ka nifaaz hoga. Asl me Wilayat-e-Faqih ki hukumat Haqiqi
Nizame Ilahi ka ek jalwa hai, jise Infijaar-e-Noor (Explosion of Light) ke naam
se jana jaata hai.
Aalami istekbaar (America) jaha apna Capitalist
Nizaam duniya par thopne ki firaaq me hai aur duniya ke saare resources par
apna kabza jamane ke piche pada hua hai, jiske liye usne sabhi mulko ke aala
afsaro aur politicians ko kharid liya hai. 1979 ke pehle Aalami Istekbar ke
saamne koi sar uthane ko tayyar nahi tha. Soviet Russia bhi Cold War ka shikaar
ho kar tukdo me batne ki kagar par tha aur saari duniya America ke Capitalist
nizaam ke saamne sar jhukane par majboor thi; aise waqt me Imam Khomeini ki
qayadat me jo Islami inqelaab Irani sarzameen par aaya, usne America ke hosh
uda diye. Duniya ke tamaam haqparasto ko ek raahe nijaat dikhai dene laga aur
log raahe Inqelaab par chalne ke liye aamada hone lage.
Sawal ye uthta hai ki kya Imam Khomeini ne ye
raah khud se ijaad kari thi ya ye raah kahi chupi hui maujood thi. Jab Khud
Imam Khomeini se pucha gaya to unhone kaha ki Wilayat-e-Faqih tasulsul hai Wilayat-e-Khuda
hai kyuki is nizaam me Faqih baadshah nahi balki ek khadim ban kar deeni nizaam
ko society me naafiz karne ki jaddojahad karta hai.
Pichle dino ek conference me ek political
analyst Middle East par baat karte hue keh rahe the ki aaj sabhi religion
crises me hai aur unke yaha maujood extremist anasir (kattarwadi log) religion
ko apne personal faede ke liye istemaal kar rahe hai. Chahe Hindusim ho ya
Sikhism, Judasim ho ya Christianity, Islam ho ya koi aur mazhab; har jagah
mazhab ka galt istemaal kar ke khud ki rotiya seki ja rahi hai.
Itna hi nahi, hare k mazhab me aapko aise nukte
mil jaege jo extremism ki taraf ishara karte hai aur jiski wajah se ek mazhab
ko mannewale dusre mazhab se ladte hai aur us ladne ko apna haq samajhte hai
aur agar is ladai me mar jaae, to khud ko Jannat ka haqdar mante hai. Is
galatfahmi me Musalman bhi piche nahi hai. Duniya me jitna bhi tashaddud
Musalmano ke zariye faila hai wo isi galatfahmi ki wajah se hai ki ham sachche
hai aur dusro ko jine ka haq nahi hai.
Agar islam ke do bade firko, Shia aur Sunni, ko
dekha jaae to tasweer saaf dikhne lagti hai. Dono ki kitabo me aisi bahot si
hadise milegi jo "Sahih" nahi hai balki "Zaeef" hai. Yehi zaeef hadise ek Musalman ko
dusre Musalman se aur dusre insano se ladne par uksaati hai. Taklif ki baat ye
hai ki Hadiso ko Quraan ke level par la kar use Sahih ka darja de diya jaata hai
aur kisi bhi tarah ki analysis / research karne par pabandi aayad kar di jaati
hai. Aisi surat me bahot si zaeef hadise deen ka hissa ban jaati hai aur jo
bigdi shakl insaniyat ke samne aati hai use ISIS kaha jata hai.
Us political analyst ne baad me kaha ki aslan
aaj sabhi mazhab aur firke crises me hai lekin Shiat ek aisa Maktab hai jisne
ijtihaad ka darwaza khula hua rakh hai aur har hadis / saying ko Quraan ki
kasauti par jaachkar use sahi ya galat sabit kiya jata hai. Is bina par koi bhi
Shia hadis ki kitaab ko sahih nahi kaha jaata balki har mujtahid un hadiso par
research karta hai aur us research ki bina par hadis ko sahih ya zaeef ka darja
diya jata hai.
Wo Analyst yahi par nahi ruka balki usne kaha
ki ye Shiat ki khubsurati hai ki aaj Iran me ek Islami Hukumat qaaem hai jo
duniya ko amn o salamati ki raah dikha rahi hai aur tamam zalimo ke muqable me
pichle 35 saal se khade ho kar mashaal-e-aazadi buland kiye hue hai.
Mujhe wo waqt yaad aa gaya jis waqt tanha Ali
(a)-o-Fatima (s) Madine ki galiyo me logo ko Nizaame Wilayat ke haq ke difa ke
liye awaaz de rahe the aur koi nahi sun raha tha. Haq ki wo awaaz bekar nahi
gai; aaj 1400 saal baad ek faqih-o-mujahid Mujtahid ne us awaaz par labbaik
kaha aur apne mulk me us nizaam ko nafiz kar ke duniya ko dikha diya ki agar
insaniyat ko haqiqi Nizam-e-Wilayat mil gaya hota to aaj insaniyat apni meraj
par hoti aur duniya me zulm ka naamo nishan tak na hota.
Quraan-e-Paak ki ayat ki jhalak saaf nazar aa gai jisme Allah (swt) kehta hai:
Aur (Ae Rasul (s)) keh do ki Haq aa gaya aur batil nestonabud hua, aur isme shak nahi ki batil mitne wala hi tha (17:81)
Quraan-e-Paak ki ayat ki jhalak saaf nazar aa gai jisme Allah (swt) kehta hai:
وَقُلْ جَاء الْحَقُّ وَزَهَقَ الْبَاطِلُ إِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوقًا
Aur (Ae Rasul (s)) keh do ki Haq aa gaya aur batil nestonabud hua, aur isme shak nahi ki batil mitne wala hi tha (17:81)
Aaiye ham khudawande Aalam se dua kare ki is
Wilayat ke nizaam ki zahur-e-Imam Mahdi (a) tak hifazat farma aur hame jald az
jald haqiqi Nizam-e-Wilyat me apne zaman eke Imam, Imam Mahdi (a) ke saae me
zindagi basar karne ki sa’adat naseeb farma.
Ilahi Ameen
0 comments:
Post a Comment