23 Jul 2015

Statements of Mujtahedeen on demolition of Jannatul Baqi

Statement of Ayatullah Khamenei

Bade afsoos ki baat hai ki aaj Musalmano aur Islami Ummah ke bich kuch aisi dakiyanusi, andhvishwasi aur takfiri fikr rakhne wale maujood hai jo samajhte hai ki Islam ke shuruwati daur ke buzurg shaksiyato ka adab aur ehteraam karna ek bedini harkat aur Shirk hai. Yeh fikr asl me ek aafat hai. Inhi logo ke baap dadao ne Jannatul Baqi me Aaimmah (a) aur digar buzurg shaksiyato ke mazaro ko mismaar kiya tha.

Agar Jannatul Baqi me Aaimma-e-Taherin (a) ki Qabr-e-Mubarak ko pamal karne walo ki aalami satah par Ummat-e-Muslima ki taraf se mukhalifat na hui hoti, to unhone Na
bi-e-Akram (s) ki muqaddas qabr ko bhi puri tarah barbaad kar diya hota. Zara ghaur kare ki inke dimag me kaise khayalaat hai aur kis tarah ki shaitani futur hai. In logo me kitni baghawat hai wo dekhe. Yeh log Islam ke muqaddas shaksiyaat ki tazeem karne ke awaam ke huqooq ko ghazb karna chahte hai, is hadd tak ki wo ise logo par haram keh kar musallat kar rahe hai.

Aisa karne ke piche woh apna mantiq (logic) batate hai ki muqaddas shaksiyaat ki tazeem karna, unki ebadat karne ke manind hai. Kya kisi fard ki qabr par ek ruhani mahol me jana aur waha ja kar Allah (SWT) se us fard ke liye rehmat ki dua karna aur khud apne liye rehmat ki dua mangna shirk hai?
Asl shirk to England aur America ki Intelligence Services ki ghulami karna aur unka pittu banna aur Musalmano ke dilo ko dukhana hai.
Yeh log aaj ki duniya ke zalim aur jabir hukmraano ke orders ko maanne, unki tazeem karne aur unke samne jhukne ko shirk nahi samajhte; lekin yehi log Islam ke muqaddas shaksiyaat ki tazeem karne ko shirk jaante hai. Yeh sabse badi aafat hai.
Aaj Duniya-e-Islam ke liye sabse badi aafat yehi batil aur gustakhana muhim hai jo dushmano ne apne rupyo aur resources ko istemaal kar ke khadi kari hai – Afsoos ke unke paas rupye aur resources hai – aur ye ek bahot badi aafat hai.
Ayatollah Khamenei, 05/06/2013

Statement of Ayatullah Nasir Makarem Shirazi

Shuru khuda ke naam se jo bada Meherbaan, bada Raham karne wala hai

Aaj se 88 saal pehle, 8 Shawaal ke roz, beghairat wahabiyat ke napaak hath Jannatul Baqi ke muqaddas qabrastan ki janib badhe aur waha maujood paak hastiya  jinme Ahlebait (a) ke sath sath Rasul-e-akram (s) ke buzurg sahaba shamil hai, ki qabro ko munhadim kar ke siwae mitti ked her ke kuch baki na rakha. Is hadse ne duniya bhar ke Musalmano ke dilo ko shadeed thes pahuchai, khas kar un Shia aur Sunniyo ko jo AhleBait-e-Rasul (as) se muhabbat karte hai.

Wahabiyat ne apne bebuniyaad khayalaat ki bina par na sirf Masum Imamo ki qabro ko munhadim kiya, balki Macca aur Medina me maujood tarikhi chizo aur imarato ko bhi nistonabood kar diya, jo na sirf Islami tehzeeb ki nishaniya thi balki duniya ke tamam Musalmano ke tarikhi jauhar bhi the.

Ek taraf jaha duniya ke sabhi mulk apni tarikhi beesato ki hifazat ki taraf khas khyal rakhte hai, apne saqafat aur ajdaad ki nishani samajhte hai; sath hi iske piche khasa kharch bhi karte hai. Itna hi nahi, agar koi nadaan is dharohar ko nuksaan pahuchane ki koshish kare to use sakht saza bhi dete hai. Wahi dusri taraf yeh begairat wahabiyo ne Islami tarikh ki dharohar ko nistonabood aur duniya ko is azeem Islami saqafat ki nishani aur gauhar se faeda uthane se dur kar diya; jiska nuksaan rehti duniya tak pura kar pana namumkin hai.

Woh log sochte hai ki ye Islami nishaniya unki maali jaedaad hai aur Makka – Medina unki sarwat hai, isliye woh log jo chahe kar sakte hai. Aaj Ummat-e-Muslima ko chahiye ki apni awaaz buland kare aur taaki ye Saudi samajh sake ki ye tarikhi nishaniya unki jaedaad nahi balki tamaam Ummat-e-Muslima ki milkiyat hai. Duniya ke maazi (past) me aur mustaqbil (future) me kisi ko ye haq nahi ki wo inhe apni zaati milkiyat samjhe; yaha tak ki Saudi Arab ke Wahabi muftiyo ko bhi ye haq nahi hai jinhe Islam ke buniyaad ki bhi barabar se khabar nahi hai aur na Quraan aur Sunnat ki khabar hai; inhe ye haq nahi banta ke apne jaali fatwo ke zariye Ummat-e-Muslima ke azeem nishaniyo ko haath lagae.

Ham Makka aur Madina me jaari Islami dharohar ki pamali ki shadeed mazammat, khas taur par Jannatul Baqi me maujood Qubur-e-Aaimma (a) ke munhadim hone ki; aur ye umeed karte hai ki ek din zaroor duniya ke Musalman jagege aur apne jayaz huqooq ke liye awaaz uthane ke sath sath Masjid-al-Haram aur Masjid-an-Nabi (s) ki zimmedari tamam Islami mulko ke supurd karne ke liye qadam badhae taaki in muqaddas makamaat ko kattar wahabiyo ke chungal se azaad kiya ja sake. Ham duniya ke tamaam Musalmano ko 8 Shawwal ke roz ko Jannatul Baqi ki yaad me zinda rakhne ke liye awaaz dete hai, taaki uski yaad hamare zehno me taazi rahe.
Hum umeed karte hai ki Jannatul Baqi me maujood Aaimma-e-Taherin (a) ki qabro ko jald se jald phir se pehle se behtar tariqe se tameer kiya jaega, jis tarah se Sammarra ka Haram Wahabiyo ke mismaar karne ke pehle se behtar tariqe se zere tameer hai; taaki Musalmano ke zakhmi dilo ko taskeen mil sake.

1 comment:

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments