27 Jul 2015

Baqi aur Quds par siyasat kyu?

Tahreer: Syed Najeebul Hasan Zaidi

Social Media par meri tarah aap ki nigaho se bhi is qism ki post guzri hogi: 
  • Kaha hai Quds ka program karne wale? 
  • Kaha hai Filistin ki aazadi ke liye muzahere karne wale? 
  • Kaha hai Baitul Muqaddas ke silsile me juloos nikalne wale? 
  • Baqi viran hai, hamare char imamo ki qabre sunsaan hai, lekin na Quds ke juloos nikalne walo ki khabar hai na Filistin ka dam bharne walo ka pata; 
  • kya Jannatul Baqi ki azmat aur mazlumiyat Baitul Muqaddas se kam hai jo aaj inhedaame Jannatul Baqi par wo log khamosh hai jo Quds Quds karte ghumte hai?”

Shak nahi, Baitul Muqaddas ho ke Jannatul Baqi; dono ki ahmiyat apni apni jagah musallam hai; dono ki qadasat aur pakizgi apne apne maqam par tay hai aur dono hi is waqt zalimo ke qabze me hai. 
 
Agar ek qiblae awwal hai to dusre ka talluq Qaba-e-dil se hai. Na inhedaame Jannatul Baqi ke dard aur is ki ahmiyat ko nazar andaaz kiya ja sakta hai aur na hi Baitul muqaddas ki tarikhi haisiyat ko jo ek Nabi (s) ki meraaj ki yaadgaar hai; to dusri Islam ki meraaj ki ke, Baqi me who shaksiyaat dafn hai jinki zindagi Islami samaj ko meraaj bakhshne me guzri; jinke talimaat ke chiraagho ki roshni aaj bhi insaniyat ko meraaje bandage tak pahuchne ki dawat de rahi hai.

Lekin afsoos ka maqaam hai kuch kaj fikr aur chalepa tarz faham rakhne wale na-aqebat andesho ne in dono maslo ko “ana” ki siyasat ki nazar kar diya hai.

Ajeeb baat to ye hai ki Quds ke silsile me pesh pesh rehne wale to aap ko inhedaame Jannatul Baqi ke mauqe par zaroor dekhne ko milege; lekin inhedaame Jannatul Baqi ke silsile me hone wale programo ke muntazemin aur arakeen Quds ke mauqe par shaaz-o-nadir hi nazar aaege.

Iski ek adna si misaal jo mere peshe nazar aai wo shahre Mumbai hai jaha Quds Committee wa IAYF ke mushtarka ta’wun se Quds ka program bhi shandaar tariqe se hota hai aur inhedaame Jannatul Baqi par bhi mukhtalif programs munaqid hote hai. Jabke is ke barkhilaaf Jannatul Baqi ke inhedaam ki munasibat wa digar program ke muntazemin zyadatar Quds ke program me gayab hi rehte hai.

Mai hargiz awaam ki baat nahi kar raha. Bechari awaam hi to dono jagah ke program ki kamiyaabi ki chabi hai. Baat un logo ki hai jo nisf ilm se mutalliq hai; ya kisi idara wa trust se jude hone ya khandaan wa virasat ki bina par khas hai. Mera sawaal inhi khas logo se hai jo kisi ek program ko dusre par tarjeeh dete hai aur dusre program me jana bhi gawara nahi karte ke aakhir unke is amal ke piche kaunsi mantiq kaar farma hai. Kahin aisa to nahi, jaane anjane kisi ek program ko kamzoor kar ke wo dushman ke khaime ko mazboot kar rahe hai?

Ke in me se koi ek bhi chahe wo Jannatul baqi ho ya Quds; Siyasat ka shikaar ho kar anjaane me dushman ke angaro ki Bhatti ke haththe chad gaya to aaj nahi to kal is ka dhowa hamari hi aankho me jaane wala hai.

Agar kisi ke zahan me ye khayal hai ke Jannatul Baqi ki mazlumiyat aur Aale Saud ke mazalim to bahar haal Musalmano ka dakhili masla hai to wo Imam Khumaini (ra) ke in jumlo par gaur kare, “Agar ham Saddam ko maaf bhi kar de, Quds ko bhula bhi de, America ki barbariyat ko bhool bhi jaae; lekin Aale Saud ko kabhi nahi bakhshege. Inshallah apne dilo ke zakhmo ki thandak munasib waqt me America wa Aale Saud se inteqaam lekar hi thanda karege.

Isi tarha agar koi ye sochta hai ke Quds to Ahle Sunnat se mutalliq hai, Filistin me kaun se Shia hai; to wo Quraan ki is aayat ka jawab kaise dege jis me irshad ho raha hai, “aur tumhe kya ho gaya hai ke tum Allah ke raah me qitaal nahi karte aur mustazafeen ke liye nahi ladte jinke mard, bachche aur aurten faryaad kar rahe hai ki, Ae maalik! Hame is qaid se najaat de jo zalimeen ka maskan hai aur hamare liye apne paas se ek wali ya madadgaar qarar de jo hamari madad kare sake" (Sure Nisa 85)
  • Kya Baitul Muqaddas hamari miras nahi? 
  • Kya Filistin ke mazloom is Aayat ke maujuda daur me misdaaq nahi? 
  • Kya ye aayat mansukh ho gai? 
  • Kya is ke mukhatab ham nahi?
Ham me se baaz kaj fikr log jis Baqi ko Quds se mutasadim karne ke dar pe hai; Is Qabrastan me sone wale Ahlebaite Athaar (a) se mutalliq ek ek fard duniya ke mazloomo aur nadaro ki panaahgaah tha. Kya Baqi aur Quds ke tasadum se in ruho ko aziyyat nahi pahuchti hogi inhone insani hurriyat aur aazadi ke liye tauqo salasil pehnna gawara kiya lekin bashariyat ko ghulami se nijaat dilane ka nuskha ba-unwaane “Karbala” hamare hawale kar gae aur aaj ham me se hi baaz in ke manshure hurriyat se na sirf ghafil balke is ki ghalat tafseer kar rahe hai.

Jis Baqi ke liye aaj ham sogwaar hai; isi Baqi ki qasam, Baitul Muqaddas aur Filistin ka masla Shia Sunni ka nahi hai; balki Baqi ki tarha mustazaf aur mustakberin ke mabain jang ka masla hai. Quraan ne bhi mustazaf aur mustakbir ke masle ko aham jaana hai.

Quraan ke ek waqiye me  ek yahudi aur Musalmaan ke darmiyaan ikhtilaaf hua aur haq Yahudi ke sath tha. Yahudi ne kaha ke Paighambar (s) ko apna hakim qarar dete hai. Jo faisla who kare ise tasleem kiya jaega. Lekin Muslamaan ne is tajweez ko yun radd kar diya ke jaanta tha Paighambar (s) ka faisla kya hoga isi liye Yahudi ki baat na maan kar Yahudiyo ke hi ek sardaar “Kaab bin Ashraf” ke paas pahuncha ke wo dono ke darmiyaan faisla kare. Is liye ke rishwat de kar faisla apne haq me karana tha. Musalman ne yeh chaal chali. Isi maqaam par ayat nazil hui “ke baaz log dawae Islam to karte hai lekin taghoot se mukhalifat ki jab baat aati hai to mukhlifat to door faisla karne wala hi use bana dete hai” (sura e Nisa: 40)

Mazkura majre me Quraan ek musalmaan ke tariqa-e-amal ko radd kar ke yahudi ko haq par qarar de raha hai yani Quraan ka wazeh aelan hai ke agar musalmaan hote hue bhi agar adalat wa insaaf ki qadr se dur ho to sab se pehle tumhari jo mazammat karega wo Quraan ki nazar me sahi hoga; aur is ke barkhilaaf agar yahudi hote hue insaaf pasand hoge to Quraan tumhari himayat karega.

Bilkul aise hi Jannatul Baqi wa Quds ka mamla hai. Shia hote hue bhi agar ham mazlumo se ghafil hai balki Yahudo istekbaar ko hakim qarar de rahe hai; Baqi ko pamali Quds ka sabab bana rahe hai; to yaqinan muhafezine Quraan, Qabristaane Baqi me sone wale waresaan Quraan ham se na-khush hai kyuke Quraan se zyada aziz Ahlebait (a) ko kuch nahi. Ab agar in ke apne hi maanne wale Quraan ke khilaaf jaae to wo kaise bardaasht karege.

Aaj puri ek lobby hai jo kaam kar rahi hai. Ye ke Quds ko Ahle Sunnat ka masla bana diya jaae aur Baqi ko Shiyo se makhsoos kar diya jaae. Lekin kya kehna hamare Imam Ali (a) ka jo shigafta sar ke sath aakhir waqt me hamare haatho meyaar de gaya “kuna lizzalime khasman, wa lil mazlume auna” (hamesha Zalim ke khilaaf raho aur mazloom ki himayat karo).. ye nahi kaha ke zalim kaun ho ye bhi nahi kaha ke mazloom kaun ho. Ham ne Ali (A) ki wasiyat se yehi samjha ke zaalim jo bhi ho us se talluq rakhna Ali ka amr nahi; mazloom jo bhi ho us se izhaare hamdardi maktabe Ali (a) ka Shewa hai.

Baqi ke zakhmo ke sambhale aaj inhedaame Baqi ke mauqe par jis tarah ham apne gham me ghamgheen hai, waise hi arze Filistin ki aazadi wa Baitul Muqaddas ki baazyabi ke liye bhi dua go hai aur labo par ye zamzama hai: “Parwardigar!! Ab warise Haidare karar ko bhej de ke duniya andher hai.”

Allahumar Zuqni talatar rashidah.

0 comments:

Post a Comment

Contact Form

Name

Email *

Message *

Comments